door kahin koi rota hai
door kahin koi rota hai
tan par pehra, bhatak raha man
saathi hai kewal sunapan
bichhad gaya kya sajan kisi ka
bichhad gaya kya sajan kisi ka
krandan sada karun hota hai
door kahin koi rota hai
janam divas par hum ithlate
kyu na maran tyouhaar manate
aantim yaatra ke avsar par
aantim yaatra ke avsar par
aamsu ka shagun hota hai
door kahin koi rota hai
antar roye, aankh na roye
dhul jayege sawapan sanjoye
chhalna bhare vishw mein kewal
chhalna bhare vishw mein kewal
sapna hi to sach hota hai
door kahin koi rota hai
is jeevan se mrityu bhali hai
aatankit jab gali gali hai
main bhi rota aaspaas jab
main bhi rota aaspaas jab
koi kahi nahi hota hai
door kahin koi rota hai
door kahin koi rota hai
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
jhulsata jaith maas
jhulsata jaith maas
sharad chandni udaas
jhulsata jaith maas
sharad chandni udaas
siski bharte sawan ka
siski bharte sawan ka
antar ghat reet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
seekchon mein simta jaag
seekchon mein simta jaag
kintu vikal pran vihag
seekchon mein simta jaag
kintu vikal pran vihag
dharti se ambar tak
dharti se ambar tak
gunj mukti geet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
path niharte nayan
path niharte nayan
ginte din palchhin
path niharte nayan
ginte din palchhin
laut kabhi aayega
laut kabhi aayega
man ka jo meet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
ek baras beet gaya
chaurahe par lutta cheer
chaurahe par lutta cheer
pyade se pit gaya wajir
chalu aakhri chaal ki baaji
chhod virakhti rachau main
raah kaun si jaau main
raah kaun si jaau main
sapna janma aur mar gaya
madhu ritu mein hi baag jhar gaya
sapna janma aur mar gaya
madhu ritu mein hi baag jhar gaya
tinke bikhare huye batoru
ya nav shrishti sajau main
raah kaun si jaau main
raah kaun si jaau main
do din mile udhaar mein
ghaate ke vayapar mein
do din mile udhaar mein
ghaate ke vayapar mein
shan shan ka hisab jodu
ya punji shesh lutau main
rah kaun si jayu main
rah kaun si jayu main
chaurahe par lutta cheer
pyade se pit gaya wajir
chalu aakhri chaal ki baaji
chhod virakhti rachau main
raah kaun si jaau main
raah kaun si jaau main
kal kal karte aaj
haath se nikle sare
bhoot bhavishyat ki chinta mein
vartaman ki baji hare
pehra koi kaam na aaya
rasghat reet chala
jeevan beet chala
jeevan beet chala
jeevan beet chala
jeevan beet chala
jeevan beet chala
hani-labh ke paldo mein
tulta jeevan vayapar ho gaya
maul laga bikne wale ka
bina bika bekar ho gaya
mujhe haat mein chhod akela
ek ek kar meet chala
jeevan beet chala
jeevan beet chala
jeevan beet chala
jeevan beet chala
jeevan beet chala