bin pani ki machhli hai tu
bin patwaar ki naav
kya jane ab duniya tujhse kya karegi bartav
ab akele hi chalna padega
ab akele hi chalna padega
zindagani ke lambe safar me
ab akele hi chalna padega
paav zakhmo se kaise bachege
lakh kaante hai is rah gujar me
ab akele hi chalna padega
tujhko godi me jisne khilaya
aaj sar se utha uska saya
tujhko godi me jisne khilaya
aaj sar se utha uska saya
aaj tu jis kadar hai akeli
utni tanha na thi umar bhar me
utni tanha na thi umar bhar me
ab akele hi chalna padega
zindagani ke lambe safar me
ab akele hi chalna padega
ye bhayanak andhero ki duniya
kaatilo aur lutero ki duniya
ye bhayanak andhero ki duniya
kaatilo aur lutero ki duniya
kaun hai jo tera hath thame
sang in jalimo ke nagar me
sang in jalimo ke nagar me
ab akele hi chalna padega
ab akele hi chalna padega
zindagani ke lambe safar me
ab akele hi chalna padega
ab akele hi chalna padega
ab akele hi chalna padega
ye mausam ye khuli hawa
jhum ke chal aur jhum ke gaa
aaj ka din hai tera aaj holiday
joliday holiday ho joliday
ye mausam ye khuli hawa
jhum ke chal aur jhum ke gaa
aaj ka din hai tera aaj holiday
holiday joliday joliday holiday holiday joliday joliday
udte baadal gaate jharne us par sath jawani ka
udte baadal gaate jharne us par sath jawani ka
aaj murade puri kar le mausam hai manmani ka
jhum rahi hai fiza aaj holiday
holiday joliday joliday holiday holiday joliday joliday
ye mausam ye khuli hawa
jhum ke chal aur jhum ke gaa
aaj ka din hai tera aaj holiday
holiday joliday joliday holiday holiday joliday joliday
aaj ke din kya nata apna banjar khushk kitabo se
aaj ke din kya nata apna banjar khushk kitabo se
aaj ke din shakho se lipte khele surkh gulabo se
aaj chahak le jara aaj holiday
holiday joliday joliday holiday holiday joliday joliday
ye mausam ye khuli hawa
jhum ke chal aur jhum ke gaa
aaj ka din hai tera aaj holiday
holiday joliday joliday holiday holiday joliday joliday
saanso ke khushbu ko pakde najro ki aawaz sune
saanso ke khushbu ko pakde najro ki aawaz sune
kisi ko apna bhed bataye
kisi se uska raaz sune
aaj maaf hai khata aaj holiday
holiday joliday joliday holiday holiday joliday joliday
ye mausam ye khuli hawa
jhum ke chal aur jhum ke gaa
aaj ka din hai tera aaj holiday
holiday joliday joliday holiday holiday joliday joliday
holiday joliday joliday holiday holiday joliday joliday
holiday holiday joliday joliday
amma ek roti de baba ek roti de
amma ek roti de baba ek roti de
bhukhe bache mang rahe hai
kabse hath pasar ke
amma ek roti de baba ek roti de
ek nahi to adhi dede adha pet hi bhar lenge
ek nahi to adhi dede adha pet hi bhar lenge
rukhi sukhi jo bhi milegi
khake gujara kar lenge
sab khate hai or hum kab se
khade hai man ko mar ke
amma ek roti de baba ek roti de
dudh malai na mange laddu peda na mange
dudh malai na mange laddu peda na mange
roti ka tukda dilwado rupya paisa na mange
chota sa ye pet hamara sabse kahe pukar ke
amma ek roti de baba ek roti de
tune or tere bacho ne jo bhi jutha choda hai
tune or tere bacho ne jo bhi jutha choda hai
pas bulakr dede hamko
bahut ho chahe thoda hai
kuch to de do yu hi na lauta dena dutkar ke
amma ek roti de baba ek roti de
bhukhe bache mang rahe hai
kabse hath pasar ke
amma ek roti de baba ek roti de
tum apni saheli ko itna bata do
ki usse koi pyar karne laga hai
jo ab tak sada muskrata raha tha
har ek baat par aah bharane laga hai
ki usse koi pyar karne laga hai
tumhari saheli bala ki hansi hai
hame bhi khabar hai use bhi yaqin hai
tumhari saheli bala ki hansi hai
hame bhi khabar hai use bhi yaqin hai
kisi ki to banna hai aakir use bhi
bura kya hai agar koi marne laga hai
ki usse koi pyar karne laga hai
tum apni saheli se itna bata do
ki usse koi pyar karne laga hai
kisi aur ki baat mane na mane
magar tum kahogi to vo maan legi
kisi aur ki baat mane na mane
magar tum kahogi to vo maan legi
zara apne bimar ko kuch dava de
ki ab dard had se guzarne laga hai
ki usse koi pyar karne laga hai
tum apni saheli se itna bata do
ki usse koi pyar karne laga hai
bas ab naaz chhodo zaraa paas aao
bahut ho chukaa ab na isko satao
bas ab naaz chhodo zaraa paas aao
bahut ho chukaa ab na isko satao
main kaise na usaki sifaarish guzaaru
ki bechaara bemaut marane laga hai
ki usse koi pyar karne laga hai
pawan basanti san san sanke khan
khan khan har ghunghru khanke
pawan basanti san san sanke khan
khan khan har ghunghru khanke
nash nash me arundat bole sakhi payal cham cham bole
sakhi payal cham cham bole
chal chalu to achra dhalke chal chalu to achra dhalke
pag pag yauwan gagri chalke man lahraye tan dole
man lahraye tan dole sakhi payal cham cham bole
sakhi payal cham cham bole
nabh tak gunje tan rasili dunia lage rang rangili
nabh tak gunje tan rasili dunia lage rang rangili
man udne ko par dole sakhi payal cham cham bole
sakhi payal cham cham bole
dharti ma ka man hamara pyara lal nishan
nawyug ki muskan hamara pyara lal nishan
dharti ma ka man hamara pyara lal nishan
nawyug ki muskan hamara pyara lal nishan
punjiwad se dab na sakega ye majdur kishan ka jhanda
punjiwad se dab na sakega ye majdur kishan ka jhanda
mehnat ka hak lekar rahega mehnat insan ka jhanda
mehnat ka hak lekar rahega mehnat insan ka jhanda
yodhar or balwan hamara pyara lal nishan
dharti ma ka man hamara pyara lal nishan
nawyug ki muskan hamara pyara lal nishan
is jhande se sans ukhadti chor munafa khoro ki
is jhande se sans ukhadti chor munafa khoro ki
jinhone insano ki halat kardi dangar khoro ki
jinhone insano ki halat kardi dangar khoro ki
unke dilo me nam hamara pyara lal nishan
dharti ma ka man hamara pyara lal nishan
nawyug ki muskan hamara pyara lal nishan
factotiyo ke dhul dhue me hamne khud ko pala
factotiyo ke dhul dhue me hamne khud ko pala
jhun pilkar lohe ko is desh ka bhar sambhala
jhun pilkar lohe ko is desh ka bhar sambhala
mehnat ke is puja ghar par pad na sakega tala
mehnat ke is puja ghar par pad na sakega tala
desh ka savidhan desh ka dhan hai janle punji wala
desh ka savidhan desh ka dhan hai janle punji wala
jitega maidan hamara pyara lal nishan pyara lal nishan
samaaj ko badal dalo, samaaj ko badal dalo
samaaj ko badal dalo
julm aur lut ke rivaj ko badal dalo
samaaj ko badal dalo
kitne ghar hai jinme aaj roshni nahi
kitne ghar hai jinme aaj roshni nahi
kitne tan badan hai jinme zindagi nahi
mulak aur kaum ke mijaj ko badal dalo
mulak aur kaum ke mijaj ko badal dalo
samaaj ko badal dalo
julm aur lut ke rivaj ko badal dalo
samaaj ko badal dalo
saikdo ki mehnato par ek kyu pale
saikdo ki mehnato par ek kyu pale
unch nich se bhara najam kyu chale
aaj hai yahi to aise aaj ko badal dalo
aaj hai yahi to aise aaj ko badal dalo
samaaj ko badal dalo
julm aur lut ke rivaj ko badal dalo
samaaj ko badal dalo
taaro ki chhao me sapno ke gaon me
pariyo ke sang tumhe jana hai
taaro ki chhao me sapno ke gaon me
pariyo ke sang tumhe jana hai
sojao chain se is kali rain se
aage ji des hai suhana hai
taaro ki chhao me sapno ke gaon me
pariyo ke sang tumhe jana hai
gagan tale pawan chale thandi suhani
dhimi dhimi laye me kahe man ki kahani
aayi rey aayi rey aayi hindol le ke nindiya ki rani
so jao, so jao, so jao
taaro ki chhao me sapno ke gaon me
pariyo ke sang tumhe jana hai
bhave teri pita jaisi maa jaisi aankhiya
gajab kare jiya hare dhunde kankiya
aayi rey aayi rey
aayi hai tumhe lene phulo ki sakhiya
so jao, so jao, so jao
taaro ki chhao me sapno ke gaon me
pariyo ke sang tumhe jana hai
khili rahe saji rahe yu hi ye kyari
hasi khushi jiyo sabhi maa tum pe vari
khili rahe saji rahe yu hi ye kyari
hasi khushi jiyo sabhi maa tum pe vari
aayi rey, aayi rey
aayi rey chanda ke rath ki sawari
so jao, so jao, so jao, so jao