People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 3 *

Tu Chal
Singer: Richa Sharma
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=yH3EXiCENws
Video:
Khwab Ke Tute Aaine Rakhkar
Dard Ke Tikhe Zayke Chakhkar
Khwab Ke Tute Aaine Rakhkar
Dard Ke Tikhe Zayke Chakhkar

Zakhm Ke Udhade Dayre Bunkar
Rooh Mein Apni Aahat Sunkar
Khud Se Hi Apne Hausle Le Chunkar

Chal Tu Chal
Chal Chal Tu Chal
Jab Talak Saans Hai Aas Hai Aag Hai

Chal Tu Chal
Haan Chal Chal Chal Tu Chal
Jab Talak Saans Hai Aas Hai Aag Hai

Chal Tu Chal
Chal Chal Chal Tu Chal

Jugnu Banao Ko Suraj Hai Tu
Khud Mein Jal
Nazrein Utha Aasmaan Par Likh Ujalon Se Tu
Aane Wala Kal

Raaston Ke Darmiyaani
Faaslon Ko Kar Tay Ko
Doondh Le Dhund Mein Manzilein

Chal Tu Chal
Haan Chal Tu Chal
Fanaa Tu Na Hona
Singer: Vijay Prakash
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=lPxJ3TGAeeQ
Video:
Dua Ruth Jaaye Bichhad Jaaye Duniya
Dua Ruth Jaaye Bichhad Jaaye Duniya

Khafa Tu Na Hona Juda Tu Na Hona
Khafa Tu Na Hona Juda Tu Na Hona
Utaarunga Teri Main Saanson Ke Karze
Luta Dunga Khud Ko Fanaa Tu Na Hona

O Meri Gudiya Nanhi Chiraiya
O Meri Gudiya Nanhi Chiraiya
Tu Hi Meri Daulat Aur Tu Hi Sarmaya

Juda Tu Na Hona Fanaa Tu Na Hona
Tu Hi Meri Daulat Tu Hi Sarmaya
Tu Hi Meri Daulat Tu Hi Sarmaya
O Meri Gudiya Nanhi Chiraiya

Mere Pyaare Papa Mujhe Yaad Rakhna
Mere Pyaare Papa Mujhe Yaad Rakhna
Jo Main Kar Na Payi Woh Sab Aap Karna
Jo Main Kar Na Payi Woh Sab Aap Karna

Ladi Umr Se Par Badi Ho Na Payi
Main Pairo Pe Apni Khadi Ho Na Payi

Main Pairo Se Apne Chalaunga Tujhko
Main Kaandhe Pe Apne Uthaunga Tujhko
Utaarunga Teri Main Saanson Ke Karze
Luta Dunga Khud Ko Fanaa Tu Na Hona

O Meri Gudiya Nanhi Chiraiya
O Meri Gudiya Nanhi Chiraiya
Dhup Tej Hai Toh Banunga Tera Saaya

Juda Tu Na Hona Fanaa Tu Na Hona
Tu Hi Meri Daulat Tu Hi Sarmaya
Tu Hi Meri Daulat Tu Hi Sarmaya
O Meri Gudiya Nanhi Chiraiya
Gubbara Chaand Ka
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=udXHYr3Oyg8
Video:
Gubbara Chaand Ka
Leke Ud Gaya Dori Raatein Kho Gayi
Murge Ki Chonch Se
Tap Se Tapka Suraj Subah Ho Gayi

Tu Saath Hai To Jahan Khushnuma
Tu Safar Humsafar Zindagi Ka Tu Hi Kaarwan

Tu Hanse Toh Lage
Sone Ki Ye Zameen Chandi Ka Aasman
Meri Toh Hai Duniya Tujh Mein
Mujh Mein Hai Tu Mujhse Zyada

Hota Hoon Main Poora Tujhse
Tere Bina Hoon Main Aadha

Odhe Raat Ne Jitne Taare Hain
Lagte Hain Tere Jaise
Panhe Subhah Ne Jo Nazaare Hain
Lagte Hain Tere Jaise

Lagte Hain Tere Jaise
Lagte Hain Tere Jaise
Lagte Hain Tere Jaise
Lagte Hain Tere Jaise

Gubbara Chaand Ka
Leke Ud Gaya Dori Raatein Kho Gayi
Raatein Kho Gayi
Murge Ki Chonch Se
Tap Se Tapka Suraj Subah Ho Gayi

Jaan Hai Khushiyon Ka Tu Jahaan Hai
Haan Pankh Hoon Main Toh Meri Udaan Hai

Tu Badle Toh Main Bhi Badloon
Tujh Mein Mere Saare Mausam
Tujhse Hi Mit Te Hain Hum
Zakhmo Pe Tu Hai Marham

Odhe Raat Ne
Odhe Raat Ne
Jitne Taare Hain
Jitne Taare Hain
Lagte Hain Tere Jaise

Panhe Subhah Ne Jo Nazaare Hain
Lagte Hain Tere Jaise

Lagte Hain Tere Jaise
Lagte Hain Tere Jaise
Lagte Hain Tere Jaise
Lagte Hain Tere Jaise