People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 9 *

Toot Gaye Sab Saathi
Singer: Mohammad Rafi
Music: Chitrgupt
Lyricist: Shyam Hindi
Tag: Hindi
Video:
tut gaye sab sath sahare
arman ban kar aashk hamare
bahte bahte bah jayenge
chupke chupke ro ro ke hum
haule haule ulfat ke gum
sahte sahte sah jayenge
tut gaye sab sath sahare
arman banke aashk hamare

pyar ko samjhe khel khilona
pyar ko samjhe khel khilona
haye hamne ye na jana
haye hamne ye na jana
aa jayegi sham muskil me
dil ke arman dil hi dil me
rahte rahte rah jayenge
tut gaye sab sath sahare
arman banke aashk hamare
bahte bahte bah jayenge

aahe bharte rote rote
aahe bharte rote rote
ashko se muh dhote dhote
ashko se muh dhote dhote
ab to dil me hai ye thani
jag ko apni ram kahani
kahte kahte kah jayenge
tut gaye sab sath sahare
arman bankar ashk hamare
bahte bahte bah jayenge
Jis Din Iss Duniya Se
Singer: Mohammad Rafi
Music: Chitrgupt
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Video:
o o o
jis din is duniya se nafrat aur khudgarzi mit jayegi
jis din is duniya se nafrat aur khudgarzi mit jayegi
us roz ye insaan nachega us roz ye dharti gayegi
us roz ye dharti gayegi

is tukde par haq mera hai us chappe par haq tera hai
is tukde par haq mera hai us chappe par haq tera hai
is waham me jab tak hai duniya samjho ke dur savera hai
jab dukh sukh sab mil baatenge aur ulfat saaz bajayegi
us roz ye insaan nachega us roz ye dharti gayegi
us roz ye dharti gayegi

insaan ke dil me jab tak bhi takat ka nasha aur lalach hai
insaan ke dil me jab tak bhi takat ka nasha aur lalach hai
ye duniya jahnnaum hi hogi ye aaj bhi sach kal bhi sach hain
jab apni apni mehanat hi sabki daulat kahlayegi
us roz ye insaan nachega us roz ye dharti gayegi
us roz ye dharti gayegi

suraj ka ujala sabka hain chanda ki chandiyan sabki hain
suraj ka ujala sabka hain chanda ki chandiyan sabki hain
insaan abhi paida na hua tha reet ye kayam jab ki hain
jab dwip ke badal bikhrenge aur preet kiran muskayengi
us roz ye insaan nachega us roz ye dharti gayegi
us roz ye dharti gayegi
jis din is duniya se nafrat aur khudgarzi mit jayegi
us roz ye insaan nachega us roz ye dharti gayegi
us roz ye dharti gayegi
Ek Do Das Upar se Aai
Singer: Mohammad Rafi
Music: Chitrgupt
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Video:
ek do das upar se aai bas ek do das upar se aai bas
ek do das upar se aai bas ek do das upar se aai bas
gudiya chaye motar budhiya ne khai thokar
hum bhi kahe tum bhi kaho huye barah
ek do das upar se bas aai ek do das upar se aai bas

jiyografi me raste tede humko dikha diye hai
humko dikha diye hia aur histri ne shahi ghode
dekho dauda diye hai dekho dauda diye hai
dil na lage humara apna sabak hai pyara
hum bhi kahe tum bhi kaho huye barah
ek do das upar se aai bas ek do das upar se aai bas

taimas kitani buri bala hai atam bana ke chhoda
atam bana ke chhoda duniya ki har ek khushi ko
kyu gam bana ke chhoda kyu gam bana ke chhoda
hume ye nahi gawara apna sabak hai pyara
hum bhi kahe tum bhi kaho huye barah
ek do das upar se aai bas ek do das upar se aai bas

kahana humara mano bhiya english ki chhodo git pit
english ki chhodo git pit darte sar ye bani hui hai
aapas me hogi khit pit aapas me hogi khit pit
chamke hai nicha tara hum bhi kahe tum bhi kaho huye barah
ek do das upar se aai bas ek do das upar se aai bas
ek do das upar se aai bas ek do das upar se aai bas
gudiya chalaye motar budhiya ne khai thokar
hum bhi kahe tum bhi kaho huye barah
ek do das upar se aai bas ek do das upar se aai bas
Ek Saathi Mera Bada Purana
Singer: Mohammad Rafi
Music: Chitrgupt
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Video:
ek sathi mera bada purana ek sathi mera bada purana
jane khub wo sath nibhana sath rahe mere din rat dekho
mera daya hath daya hath daya hath ek sathi mera bada purana
jane khub wo sath nibhana sath rahe mere din rat dekho
mera daya hath daya hath daya hath bag bagiche yahi banaye
khode dharti phul ugaye bag bagiche yahi banaye

khode dharti phul ugaye chupa hua mati me sona dhundh ke laye
dhundh ke laye chupa hua mati me sona dhundh ke laye
dhundh ke laye aap ye apni madad kare to malik
bhi de sath ek sathi mera bada purana
jane khub wo sath nibhana sath rahe mere din rat dekho
mera daya hath daya hath daya hath

sidha sadha sathi mera pahne na ye kabhi anguthi
sidha sadha sathi mera pahne na ye kabhi anguthi
mehnat hi ko jewar samjhe har singar ko daulat jhuthi
mehnat hi ko jewar samjhe har singar ko daulat jhuthi
apne aage kuch na sujhe sardi garmi barsat
ek sathi mera bada purana jane khub wo sath nibhana
sath rahe mere din rat dekho mera daya hath daya hath daya hath
ek sathi mera bada purana jane khub wo sath nibhana
sath rahe mere din rat dekho mera daya hath daya hath daya hath
Jo Dil Ko Chod Surat Pe Mare
Music: Chitrgupt
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Maa-Baap/Jo-Dil-Ko-Chhodke-Surat-Pe-Mare/AQsNRzkCAXE
Video:
jo dil ko chhod surat pe mare
jo dil ko chhod surat pe mare
badnaam pyar ka naam kare
badnam kare ji badnam kare
jo dil ko chhod surat pe mare
badnaam pyar ka naam kare
badnam kare ji badnam kare

mukhade ka roop do pal ki dhup
kya aitbar iska
mukhade ka roop do pal ki dhup
kya aitbar iska
dil ka jahan har dam jawan
sacha hai pyar iska
jo dil ko chhod surat pe mare
badnam pyar ka nam kare
badnam kare ji badnam kare
jo dil ko chhod surat pe mare
badnaam pyar ka naam kare
badnam kare ji badnam kare

surat na dekh ye hai fareb
dhokhe me aa na jana
surat na dekh ye hai fareb
dhokhe me aa na jana
dil hai haseen to sab kuch haseen
dil hi se lau lagana
jo dil ko chhod surat pe mare
badnaam pyar ka naam kare
badnam kare ji badnam kare
jo dil ko chhod surat pe mare
badnaam pyar ka naam kare
badnam kare ji badnam kare

jalwa hai rang dil hai khumar
chadh kar kabhi na tute
jalwa hai rang dil hai khumar
chadh kar kabhi na tute
ho ek baar dil se jo pyar
to fir kabhi na chhute
jo dil ko chhod surat pe mare
badnaam pyar ka naam kare
badnam kare ji badnam kare
jo dil ko chhod surat pe mare
badnaam pyar ka naam kare
badnam kare ji badnam kare
Lage Unki Suratiya Kitni Bhali
Music: Chitrgupt
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Maa-Baap/Lage-Unki-Suratiya-Kitni-Bhali/FFAAQS5aRgs
Video:
ek tasveer ek murat hai
haye vo kitni khubsurat hai

lage unki suratiya kuch aisi bhali
lage unki suratiya kuch aisi bhali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali

bate vo karte hai aisi kamal ki
jaise umariya ho pandhra saal ki
soch le soch le nikle chonchle
isi liye to kahi dal na gale
lage unki suratiya kuch aisi bhali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali

chipku bhi aise ke jane ka naam na le
ghadi hai bandh rakhi lekin kaam na le
jaha bhi tham gaye samjho ke jam gaye
din se rat hui rat si dhali
lage unki suratiya kuch aisi bhali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali

rakhte hai tajurba wo har bat ka
dekhnge darwaja kabhi hawalat ka
muft ka bangla baahar jangla
khayenge baithe baithe moong ki fali
lage unki suratiya kuch aisi bhali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali
Yeh Pehli Ghata Sawan Ki
Music: Chitrgupt
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Maa-Baap/Yeh-Pehli-Ghata-Sawan-Ki/SFgTdjleWVI
Video:
ye pahli ghata sawan ki ye bhigi hawa sawan ki
ke jiyra ho machle machre machle
ye pahli ghata sawan ki ye bhigi hawa sawan ki
ke jiyra ho machle machre machle ye pahli ghata sawan ki

julf bikhar ke ude hawa me to kya hua to kya hua ji
age mitha dard jiya me to kya hua to kya hua
chu jaye ghata balo ko ke jiyra ho machle machle machle
ye pahli ghata sawan ki ye bhigi hawa sawan ki
ke jiyra ho machre machle machle
ye pahli ghata sawan ki

ho thik nahi niyat sawan ki sach hoga ha ji sach hoga
thik nahi niyat sawan ki sach hoga ha ji sach hoga
tadapati hai rut sawan ki sach hoga ha ji sach hoga
kuch bas me nahi jiyra ho ke jiyra ho machle machle machle
ye pahli ghata sawan ki ye bhigi hawa sawan ki
ke jiyra ho machle machle machle
ye pahli ghata sawan ki

ho kuch hone wala hai ab to hoke rahe ha ji hoke rahe
ho kuch hone wala hai ab to hoke rahe ha ji hoke rahe
dil khone wala hai ab to khoke rahe ha ji khoke rahe
bahlaye to kya bahlaye ke jiyra ho machle machle machle
ye pahli ghata sawan ki ye bhigi hawa sawan ki
ke jiyra ho machle machle machle
ye pahli ghata sawan ki
Jal Ja Parai Aag Mein
Music: Chitrgupt
Lyricist: Rajendra Krishan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Maa-Baap/Jal-Ja-Parai-Aag-Mein/PVA9VEMEA3o
Video:
jal ja parayi aag me parwana kah gaya
jal ja parayi aag me parwana kah gaya
kitne pate ki baat ek diwana kah gaya
kitne pate ki baat ek diwana kah gaya
diwana kah gaya
jal ja parayi aag me parwana kah gaya
mujhko to sabki pyas bujhane se kaam hai
mujhko to sabki pyas bujhane se kaam hai
hotho tak aake raz ae paimana kah gaya
paimana kah gaya
jal ja parayi aag me parwana kah gaya
jal ja parayi aag me parwana kah gaya

deta na apne phul jo duniya ke baag ko
deta na apne phul jo duniya ke baag ko
aabad main bhi hota ye wirana kah gaya
wirana kah gaya
jal ja parayi aag me parwana kah gaya
jal ja parayi aag me parwana kah gaya
aayi subh to aakhri tara bhi tut ke
aayi subh to aakhri tara bhi tut ke
kaisi kati hai raat ye afsana kah gaya
afsana kah gaya
jal ja parayi aag me parwana kah gaya
jal ja parayi aag me parwana kah gaya
kitne pate ki baat ek diwana kah gaya
diwana kah gaya
jal ja parayi aag me parwana kah gaya
Agar Sun Le Toh
Singer: Kishore Kumar
Music: Chitrgupt
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ek-Raaz/Agar-Sun-Le-To-Ek-Nag
agar sun le to ek nagma
hujur-e-yar laya hu
agar sun le to ek nagma
hujur-e-yar laya hu
wo kali chatki ki dil tuta
par ek jhankar laya hu agar sun le

mujhe malum hai itna ke mai
kya meri kimat kya
mujhe malum hai itna ke mai
kya meri kimat kya
jo sab kuchh tha jo kuchh bhi
nahi ek aisa pyar laya hu
agar sun le to ek nagma
hujur-e-yar laya hu agar sun le

achanak aa giri bijali to
phir surat yahi nikali
achanak aa giri bijali to phir
surat yahi nekili
ujad gaya dil to ab jakhmo
ka ek gulajar laya hu
agar sun le to ek nagma
hujur-e-yar laya hu agar sun le

ajab hu mai bhi divana
ajab hai meraa najarana
ajab hu mai bhi divana
ajab hai meraa najarana
ke unke liye apani vafa ka
tuta har laya hu
agar sun le to ek nagma
hujur-e-yar laya hu
wo kali chataki ki dil tuta
par ek jhankar laya hu agar sun le