rukh badalate huye mousam si hai fitrat uski
kuchh dino ke liye main bhi tha jarurat uski
rukh badalate huye mousam si hai fitrat uski
jisko duniyan ki nigahon se chhupa rakhha hai
meri gajalo me najar aati hai surat uski
rukh badalate huye mousam si hai fitrat uski
kuchh dino ke liye main bhi tha jarurat uski
rukh badalate huye mousam si hai fitrat uski
jami ko ae khuda vo jaljala de
jami ko ae khuda vo jaljala de
nisa tak sharhado ke tu mita de
jami ko ae khuda vo jaljala de
mohabbat me badal jaye siyasat
mohabbat me badal jaye siyasat
khuda lahour dil se mila de
khuda lahour dil se mila de
jami ko ae khuda vo jaljala de
nisa tak sharhado ke tu mita de
jami ko ae khuda vo jaljala de
kuchh is tarah se mile hum ke baat rah jaye
kuchh is tarah se mile hum ke baat rah jaye
bichad bhi jaye to hatho me hath rah jaye
main so raha hun tere khab dekhne ke liye
khuda kare meri aankho mein raat rah jaye
khuda kare meri aankho mein raat rah jaye
lavo se chhu ke tera naam gungnaye hum
hamare sath gajal ki barat rah jaye
bichad bhi jaye to hatho me hath rah jaye
kuchh is tarah se mile hum ke baat rah jaye
aur kuchh din yahan rukane ka bahana milta
aur kuchh din yahan rukane ka bahana milta
is naye shahar mein koi to purana milta
aur kuchh din
sath rahne ki chukai hai badi kimat bhi
sath rahne ki chukai hai badi kimat bhi
chhod dete jo tujhe hum to jamana milta
aur kuchh din yahan rukane ka bahana milta
is naye shahar mein koi to purana milta
aur kuchh din