People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Pairon Ki Bediyan
Music: Amit Trivedi
Album: Udaan(2010)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Udaan/Aazaadiyan-Aazaadiyan-Aankhein-Na/SDAFABcCT18
Video:
pairo ki bediya khwabo ko baandhe nahi re kabhi nahi re
mitti ki parton ko nanhe se ankur bhi chine dhire dhire
iraade hare bhare jinke seeno mein ghar kare
wo dil ki sune kare na dare na dare

subah ki kirno ko rokein jo salaakhein hai kahan
jo khayalon pe pehre daale wo aankhein hai kahan
par khulne ki deri hai parinde udh ke jhoomenge
aasman aasman aasman
subah ki kirno ko rokein jo salaakhein hai kahan
jo khayalon pe pehre daale wo aankhein hai kahan
par khulne ki deri hai parinde udh ke jhoomenge
aasman aasman aasman

aazaadiyan aazaadiyan
aagey na kabhi mile mile mile
aazaadiyan aazaadiyan
jo cheenay wahi jee le jee le jee le
subah ki kirno ko rokein jo salaakhein hai kahan
jo khayalon pe pehre daale wo aankhein hai kahan
par khulne ki deri hai parinde udh ke jhoomenge
aasman aasman aasman

kahani khatm hai ya shuruwaat hone ko hai hone ko hai
subah nayi hai ye ya phir raat hone ko hai hone ko hai
kahani khatm hai ya shuruwaat hone ko hai hone ko hai
subah nayi hai ye ya phir raat hone ko hai hone ko hai
aane wala waqt dega panahe hai
ya phir se milenge do raahein
khabar kya kya pataa
Nadi Mein Talab Hai
Music: Amit Trivedi
Album: Udaan(2010)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Udaan/Udaan-Kab-Talakh-Yuin/ClsdUiZbZAo
Video:
nadi mein talab hai kahin jo agar
samandar kahan door hai
damakti garaz hai sone mein agar
to jalna bhi manzoor hai
ek udaan kab talak yun kaid rahegi
roko na chhod do ise
ek udaan hi sapno ko zindagi degi
sapno se jod do ise

purani daleelon rasmon ko sabhi
abhi se kahe alvida
badalte dino ke tareekon se
seechein hum naya gulistan
ek udaan kab talak yun kaid rahegi
roko na chhod do isse
ek udaan hi sapno ko zindagi degi
sapno se jod do isse

ek udaan kab talak yun kaid rahegi
roko na chhod do isse
ek udaan hi sapno ko zindagi degi
sapno se jod do isse
Iski Maa Agar Ise
Music: Amit Trivedi
Lyricist: Anurag Kashyap
Album: Udaan(2010)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Udaan/Motumaster-Gas-Ka-Plastar/BlA9XUZxBUs
Video:
iski maa bhai kiski maa
iski maa agar isse pait mein hi maar deti maar deti
to bihar mein akaal na hota akaal na hota
orissa mein orissa mein baad na hoti baad na hoti
maa perplex thi perplex thi
baap complex tha complex tha complex tha
arrey radio ke zamaane ka ye pehla
multiplex tha multiplex tha

paida hua ye jis din paida hua
paida hua ye jis din paida hua
paida hua ye jis din paida hua
is ke baap ne gaon mein ladoo batwaya
is ke baap ne gaon mein ladoo batwaya
wo aakhri din tha jab isske gaon mein
kisi ne kuch khaya
kisi ne kuch khaya kisi ne kuch khaya
paida karte iski maa zor se jo chilai
leke ashokchakra sarkar daudi daudi aayi

doctor ne baap ko side mein le jaake daanta
doctor ne baap ko side mein le jaake daanta
bola kahan se layi yeh gastronomical jwarbhata
bola kahan se layi yeh gastronomical jwarbhata
darzi ne bola inchi tape apne bagal mein chaape
darzi ne bola inchi tape apne bagal mein chaape
kamar to naapte magar hum kamra kaise naape
kamar to naapte magar hum kamra kaise naape
hoo pathar ke paalne mein jab yeh leta rota tha
pathar ke paalne mein jab yeh leta rota tha
sara gaon iske baap ke aasuon se bartan dhota tha
bartan bartan bartan dhota tha

gusse mein isska baap oho parliament gaya aaha
bola nirodh kyun late invent kiya oho invent kiya
har baal ki khaal ki yeh chaal bhi kha jaaye
iske haath padh jaaye to mahiney saal bhi kha jaaye
kisi behal ka bacha jo haal behaal kha jaaye
bemaut marte mann ka yeh malaal kha jaaye
lalu kalaal kha jaaye naxal baari ki naal kha jaaye
bachpan ka dhamaal kha jaaye budhape ki shaal kha jaye
haya to chodo baheya ki chaal bhi kha jaaye
agar parosa ja sake to khayal bhi kha jaaye

butter chiken butter chiken
hoo ladoo gopal hai poora chopal hai
khada toki tarsi baitha bhopal hai
baitha bhopal hai bhai baitha bhopal hai
bhopal bhopal baitha bhopal hai
iski jo baat hai khansabo ko daad hai
baap murdabad beta muradabad hai
iski jo baat hai khansabo ko daad hai
baap murdabad beta muradabad hai
baap murdabad beta muradabad hai

hey isski jo dakaar hai bhopu bhi bekar hai
gud gud iske pait ki pait ki sarkar hai
vote do bhai vote do poora hi phod do
iska jo size hai iski maa ka pyaar hai
hajam kiya iss ne apne baap ka karobaar hai
baap ka karobaar apne baap ka karobaar hai

chirken ka muse hai paryavaran hi lose hai
udne na dena isse dooms day ka fuse hai
dooms day ka fuse hai bhai dooms day ka fuse doom
dooms day ka fuse dooms day ka fuse hai
khachua bhi isse faster motumaster
gas ka plaster motumaster
hai naak bandh phaatkar motumaster
chod baant baant kar motumaster
yeh motumaster hai total disaster
total diaster hai motumaster
motumaster chal daaro paas kar chup be bastard
Geet Mein Dhalte Lafzon Mein
Music: Amit Trivedi
Album: Udaan(2010)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Udaan/Geet-Mein-Dhalte-Lafzon-Mein/ChAxeAx9DmE
Video:
geet mein dhalte lafzon mein
taal pe chalti nabzon mein
naya kuchh naya to zaroor hai
shaam se leke sehron mein
dhoop jadi duphero mein
naya kuchh naya to zaroor hai
kya baat hai jo baat hai taaza lagey
zindagi ki nayi nayi faza lagey
haan ye umango se poora hua seena hai
lamha ye maanga nahi ise humne cheena hai
yunhi jeena hai

dhul jami thi aankhon mein
khwab khile ab lakhon mein
naya kuch naya to zaroor hai
dard ki baatien kal ki hain
aaj me khushiya chalki hain
naya kuch naya to zaroor hai
jebon mein hum raatein liye ghuma kare
fursat ke ye mauke sabhi jhuma kare
haan ye umango se poora hua seena hai
lamha ye maanga nahi ise humne cheena hai
yunhi jeena hai

hatheli me hai nayi garmiya
junoon sakht hai gayi narmiya
hai dilchasp ye aag si aag si
mitenge nahi yaad se yaad se
geet mein dhalte lafzon mein
taal pe chalti nabzon mein
naya kuchh naya to zaroor hai
shaam se leke sehron mein
dhoop jadi duphero mein
naya kuchh naya to zaroor hai
kya baat hai jo baat hai taaza lagey
zindagi ki nayi nayi faza lagey
haan ye umango se poora hua seena hai
lamha ye maanga nahi ise humne cheena hai
yunhi jeena hai
Aankhon Ke Pardo Pe
Music: Amit Trivedi
Album: Udaan(2010)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Udaan/Kahaani-Khatam-Hai-Ya/RxBcdh9FcVg
Video:
aankho ke pardo pe pyaara sa jo tha wo nazaara
dhua sa ban kar udh gaya ab na raha
baithe the hum to khwabon ke chaon ke tale
chod ke unko jaane kahan ko chale

kahani khatam hai ya shuruwaat hone ke hai
subah nayi hai yeh ya phir raat hone ko hai
kahani khatam hai ya shuruwaat hone ke hai
subah nayi hai yeh ya phir raat hone ko hai

aane wala waqt dega panahe
ya phir se milenge doraahe
khabar kya kya pata
Chadti Lehren
Singer: Mohan
Music: Amit Trivedi
Album: Udaan(2010)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Udaan/Naav-Hai-Teri-Naav/ISYDAFlmZ0I
Video:
chadhti lehrein laang na paye
kyun haapti si naav hai teri, naav hai teri
tinka tinka jod ke saansein
kyun haapti si naav hai teri, naav hai teri
ulti behti daar hai behri, daar hai behri
ulti behti daar hai behri, daar hai behri
ke ab kuch kar ja re bandu

bigar juta ke baal baal dule hai baat
thehri jaan pe teri, jaan pe teri
bhaiya hoki taan saadh le jo baat
thehri jaan pe teri, shaan pe teri
chal jeet jeet lehra ja, chal gulaal phehra ja
ab kar ja tu ya mar ja, karle taiyaari
udh ja ban ke dhoop ka panchi
chhuda ke gehri chhaon, andheri chhaon, andheri
tinka tinka jod ke saansein
kyun haapti si naav hai teri, naav hai teri

rakh dega jag jor ke tujhe
toofanon ka gol hai tere gol hai tera
bhanwar se dar jo haar maan le
kaahe ka phir jor hai tera jor hai tera, jor hai tera
hai dil mein roshni tere, tu cheer daal sab gehere
lehron ki gardhan kasske daal phande re daal phande re
kidariya bole bahaar panthi sar aankhon pe
naav hai teri naav hai teri, naav hai teri
chadhti lehrein laang na paye
kyun haapti si naav hai teri, naav hai teri
ulti behti daar hai behri, daar hai behri
ulti behti daar hai behri, daar hai behri
ke ab kuch kar ja re bandu