People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 9 *

Dekho Na
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Album: Swades
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Swades/Dekho-Na/PQUCXgZDdgE
Alka:Umm..hmm�hmm�hmm�
Umm..hmm�dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na, zara dekho na
Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai
Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada
Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka
Suno zara, suno zara, kehti hai�raat kya

Udit:
Raat hai leke aayi, kitne armaan anjaane
Kehti hai sau afsaane, sunta hoon main
Raat ne li angdaai, anhoni baat hai hoti
Bikhre hai jaise moti chunta hoon main
Tumne, ye kya keh diya
Meri aankhon mein diye hai jaise jal gaye
Tumne ye kya keh diya
Meri raaton ke andhere jaise dhhal gaye

Alka:
Tumse hi toh milke maine jaana hai
Sapne kya hote hain ho
Tumse hi toh milke maine jaana hai
Dil kaise kho-te hain oh..

Udit:
Chaandni se pyaari mujhko, in palkon ki chhaaon
Tumne basaaya mere dil mein, ik sapnon ka gaaon

Alka:
Tumne mujhko chaaha toh
Mausam rang chhalkaata hai
Har pal jee ab gaata hai mere liye

Udit:
Tumne mujhko chaaha toh
Jeevan ki saari raahein
Khole hain apni baahein mere liye

Alka:
Dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na, zara dekho na
Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai

Udit:
Hmm�tum bin din sune the raatein suni thi
Viraani thi chhaayi oh�
Ab jaise din chamke raatein mehki hai
Tum ho jo hamraahi oh�

Alka:
Tum bin jaise main thi adhoori
Poori ho gayi hoon main
Tumko paake jag paaya hai
Par khud kho gayi hoon main

Udit:
Ham dono ne ab jaana, jeene ka matlab kya hai

Alka:
Pehle kya thi ab kya hai, ye zindagi

Udit:
Ham dono ne ab jaana, duniya kitni pyaari hai

Alka:
Paayi kitni saari hai, hamne khushi

Udit:
Dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na, zara dekho na
Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai

Alka:
Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada
Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka
Pal Pal Hi Bhaari
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Album: Swades
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Swades/Pal-Pal-Hai-Bhaari/FQ8
Madhushree:Aa�aa�

Madhushree:
Pal pal hai bhaari woh bipta haiyaai
Mohe bachaane ab aao raghu-raayi
Aao raghuveer aao, raghupati raam aao
More mann ke swaami, more shri raam aao
Raam raam japti hoon, sun lo meri raam aao
Raam raam jhapti hoon, sun lo meri raam ji
Baje satya ka danka, jale paap ki lanka
Issi shan tum aao, mukt karaao
Sun bhi lo ab meri duhaai
Pal pal hai bhaari woh bipta haiyaai
Mohe bachaane ab aao raghu-raayi


Vijay & Ashutosh:
Raam ko bhoolo ye dekho raavan aaya hai
Phaili saari shristi par jiski chhaaya hai
Jo jagti ho raam raam tum kyun leti ho
Raam naam tum
Raam raam ka ratan jo tumne hai lagaaya, sita
Sita tumne hai raam mein aisa kya gun paaya

Madhushree:
Dil paayega unke gun ko ye kya, itne shabd hi kahaan hai
Pahonchega us shikhari ke kaun bhala mere raamji jahaan hai
Jag mein sab se uttam hai, mariyaada purushottam hai
Sab se shakti-shaali hai, phir bhi rakhte sayam hai par
Unke sayam ki ab aane ko hai seema
Raavan samay hai, maang le kshama

All:
Baje satya ka danka, jale paap ki lanka
Aaye raaja raam kare ham pranaam
Sang laaye lakshman jaisa bhaai

Madhushree:
Pal pal hai bhaari woh bipta haiyaai
Mohe bachaane ab aao raghu-raayi

Vijay:
Raam mein shakti agar hai, raam mein saahas hai jo
Kyun hain aaye abhi tak, woh tumhaari rakhsha ko
In aparharan karne mein, bhagti nahin ho tum yahaan
Ye bataao woh tumhaare raam hai is pal kahaan

Madhushree:
Raam hriday hai mein mere, raam bhi dhadhkan mein hai
Raam mere aatma mein, raam hi jeevan mein hai
Raam har pal mein hai mere, raam hai har swaas mein
Raam har aasha mein meri, raam hi har aas mein

Vijay:
Ho..raam hi toh karuna mein hai, shaanti mein raam hai
Raam hi hai ekta mein, pragati mein raam hai
Raam bas bhakton nahin shatru ke beech chintan hai
Dekh taj ke paap raavan, raam tere mann mein hai
Raam tere mann mein hai, raam mere mann mein hai -2
Raam toh ghar ghar mein har, raam har aangan mein hai
Mannse raavan jo nikaale, raam uske mann mein hai -2

All:
Ho�aa�ho�aa�ho�ho�ho�

Madhushree:
Pal pal hai bhaari woh bipta haiyaai
Mohe bachaane ab aao raghu-raayi

All:
Suno raamji aaye, gun raam ke gaaye
Raaja raamchandra aaye, shri raamchandra aaye
Raamji aaye, gun raam ke gaaye
Shri raamchandra aaye ho�

All:
Suno raamji aaye, gun raam ke gaaye
Raaja raamchandra aaye, shri raamchandra aaye
Raamji aaye, gun raam ke gaaye
Ye Jo Des Hi Tera
Singer: A.R.Rehman
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Album: Swades
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Swades/Yeh-Jo-Des-Hai-Tera/XT
(Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara�Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta) -2

Mitti ki jo khushboo, tu kaise bhoolaayega
Tu chaahe kahin jaaye, tu laut ke aayega
Nayi nayi raahon mein, dabi dabi aahon mein
Khoye khoye dilse tere, koyi ye kahega
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta

(Hmm�hmm�hmm�hmm�hmm�)
Tujhse zindagi, hai ye keh rahi
Sab toh paa liya, ab hai kya kami
Yun toh saare sukh hai barse
Par door tu hai apne gharse
Aa laut chal tu ab diwaane
Jahaan koyi toh tujhe apna maane
Awaaz de tujhe bulaane, wahi des
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
(Hmm�hmm�hmm�hmm�hmm�)

Ye pal hai wahi, jis mein hai chhupi
Koyi ek sadi, saari zindagi
Tu na poochh raaste mein kaahe
Aaye hain is tarha do raahein
Tu hi toh hai raah jo sujhaaye
Tu hi toh hai ab jo ye bataaye
Chaahe toh kis disha mein jaaye wahi des
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta
Aahista Aahista
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Album: Swades
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Swades/Aahista-Aahista/Ii4GYS
Umm�hmm�hmm�hmm..hmm�Nindiya� tu aa hmm�hmm�hm�

Aahista aahista, aahista aahista
Nindiya� tu aa, in do nainon mein
Halke se holle se, kuch sapne bhole se
Nindiya tu laa, in do nainon mein ho�
Bahe soyi soyi jaise, saari hawaayein
Sama bhi hai soya soya sa
Nindiya re, nindiya re, tu mere angna re, aaja re
In jhukti palkon pe, chhaa jaa re
Aahista aahista, aahista aahista
Nindiya� tu aa, hmm...hmm�hm�

Mulaayam mulaayam si neeli neeli raat hai
Thapakti hai is dil ko, yaadein kayeen
Yaadon ke paalne mein koyi khoyi khoyi baat hai
Woh nindiya ab aake tu, meri di thi lori gaake
Mere khoye sapne dikhlaade haay
Yaadon ka palna jhula dein
Aahista aahista, aahista aahista
Nindiya� tu aa, in do nainon mein
Aahista aahista, aahista aahista
Nindiya� tu aa, um hmm�hmm�hmm�


Hmm�hmm�hmm�hmm hmm hmm�
Hmm�hmm�hmm�
Mehki hawa ki reshmi chaadar, kaho toh bichha doon
Neel gagan se chaand ko leke, takiya bana doon
Chaandni laake, tumko odhhaake
Main gungunaaun geet koyi
Us pal hi, chupke se, phir nindiya
Aa jaaye
Palkon pe jaise thhaher jaaye oh�
Meethhi meethhi nindiya aaye
Aahista aahista, aahista aahista
Nindiya� tu aa, in do nainon mein
Halke se holle se
Kuch sapne bhole se
Nindiya tu laa, in do nainon mein
Bahe soyi soyi jaise, saari hawaayein
Sama bhi hai soya soya sa�
Nindiya re, nindiya re, tu mere angna re
Aaja re�
Aaja re�
In jhukti palkon pe, chhaa jaa re
Aahista aahista
Aahista aahista
Yu Hi Chala Chal
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Album: Swades
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Swades/Yun-Hi-Chala-Chal/Oz9e
Hariharan:Yunhi chala, chal raahi -2
Kitni haseen hai ye duniya
Phool saare jamele, dekh phoolon ke mele
Badi rangeen hai duniya
Rum tum taana na nak tum tum taana na -3 bhaiya

Kailash:
Hmm�aa�aa�aa�

Udit:
(Ye raasta hai keh raha ab mujhse
Milne ko hai koyi kahin ab tujhse) -2

Kailash:
Ho�oh ho ho ho ho�ho ho ho ho ho�

Udit:
Dil ko hai kyun ye betaabi
Kis se mulaaqaat honi hai
Jis ka kabse armaan tha
Shaayad wahi baat honi hai

Kailash:
Yunhi chala, chal raahi -2
Jeevan gaadi hai samay paiya
Aansoon ki nadiya bhi hai
Khushiyon ki bagiya bhi hai
Rasta sab tera takke bhaiya

Udit:
Yunhi chala, chal raahi -2
Kitni haseen hai ye duniya
Phool saare jamele, dekh phoolon ke mele
Badi rangeen hai duniya

Udit:
Hey na na na hey na na na
Hey hey hey eh hey�
Dekho jidhar bhi in raahon mein
Rang pighalte hain nihaagon mein
Thhandi hawa hai thhandi chhaaon hai
Door woh jaane kiska gaaon hai
Baadal ye kaisa chhaaya
Dil ye kahaan le aaya
Sapna ye kya dikhlaaya hai mujhko

Kailash:
Har sapna sach lage, jo prem agan jale
Jo raah tu chale apne mann ki
Har pal ki seeb se moti hi tu chune
Jo sada tu sune apne mann ki

Udit:
Yunhi chala, chal raahi -2

Hariharan:
Kitni haseen hai ye duniya

Udit:
Phool saare chamele, dekh phoolon ke mele
Badi rangeen hai duniya

Udit:
Mann apne ko kuch aise halka paaye
Jaise kandho pe rakha boj hat jaaye
Jaise bhola sa bachpan phirse aaye
Jaise barson mein koyi ganga nahaaye

Kailash:
Jaise� barson mein, koyi ganga nahaaye

Udit:
Khul sa gaya hai ye mann
Khul sa gaya har bandhan
Jeevan ab lagta hai paawan mujhko

Kailash:
Jeevan mein preet hai, honton pe geet hai
Bas yehi jeet hai sun le raahi
Tu jis disha bhi jaa, tu pyaar hi loota
Tu deep hi jala, sun le raahi

Udit:
Yunhi chala, chal raahi -2
Kaun ye mujhko pukaare
Nadiya pahaad jheel aur jharne, jangal aur waadi
In mein hai kiske ishaare

Udit & Hariharan:
Yunhi chala, chal raahi -2
Kitni haseen hai ye duniya
Phool saare jamele, dekh phoolon ke mele
Badi rangeen hai duniya

Kailash:
(Ho�aa�aa�)

Udit:
Ye raasta hai keh raha ab mujhse
Milne ko hai koyi kahin ab tujhse

Hariharan: Rum tum taana na nak tum tum taana na -3 bhaiya
Kailash: Sa Ni Sa Ga Ga Ga Sa Ma Ma Ma Re Re Re
Udit: Sa Ni Sa Sa, Sa Ni Sa Sa
Kailash: Sa Ni Sa Ga Ga Ga Sa Ma Ma Ma Sa Pa Pa Pa
Udit: Sa Ni Sa Sa, Sa Ni Sa Sa
Hariharan: Yunhi chala� chal raahi
Udit: Sa Ni Sa Sa, Sa Ni Sa Sa
Saanwariya Saanwariya
Singer: Alka Yagnik
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Album: Swades
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Swades/Saanwariya-Saanwariya/
(Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariyaTune mann moh liya�saanwariya ho�) -2
Uljha sa ye mann hai, sulgha sa ye tann hai
Sapnon ka saawan hai, nainon ka aangan hai
Chhalke mann gaagariya..saanwariya ho�saanwariya ho�
Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya�saanwariya ho�

Tara rara ra ra ra ra ra ra�aa� -2

Jo tu yun paas aaya hai, jo tu yun dil pe chhaaya hai
Toh maine kya paaya hai, kaise kahoon haan
Kahin dhadhkan ki kaliyaan hai, kahin sapnon ki galiyaan hai
Jo mann mein rang-raliyaan hai, kaise kahoon
Tu jo, mujhe, aise, behkaaye, kabhi kabhi mujhe toh badi laaj si aaye
Bhooli hoon main jaise, apni dagariya
Jabse hai dekhi maine, prem nagariya, prem nagariya
Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya�saanwariya ho�

Ho�ho�ho�ho�ho�

Tu jo, mila, mujhe, toh ye saara, sama, badal gaya
Khilne lage hain phoolse meri raah mein
Phir yun, laga, mujhe ke ye dharti, nayi huwi
Naya ambar huwa, teri aur meri chaah mein
Chanchal, hawa, taraana koyi gaaye
Nadiya bhi koyi kahaani kehti jaaye
Jabse mili sajna, tujhse najariya
Ho gayi hai sudh-budh ki mujhse gathhariya
Saanwariya saanwariya
Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya... saanwariya ho...
Saanwariya Saanwariya
Singer: Alka Yagnik
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Album: Swades
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Swades/Saanwariya-Saanwariya/
(Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariyaTune mann moh liya�saanwariya ho�) -2
Uljha sa ye mann hai, sulgha sa ye tann hai
Sapnon ka saawan hai, nainon ka aangan hai
Chhalke mann gaagariya..saanwariya ho�saanwariya ho�
Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya�saanwariya ho�

Tara rara ra ra ra ra ra ra�aa� -2

Jo tu yun paas aaya hai, jo tu yun dil pe chhaaya hai
Toh maine kya paaya hai, kaise kahoon haan
Kahin dhadhkan ki kaliyaan hai, kahin sapnon ki galiyaan hai
Jo mann mein rang-raliyaan hai, kaise kahoon
Tu jo, mujhe, aise, behkaaye, kabhi kabhi mujhe toh badi laaj si aaye
Bhooli hoon main jaise, apni dagariya
Jabse hai dekhi maine, prem nagariya, prem nagariya
Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya�saanwariya ho�

Ho�ho�ho�ho�ho�

Tu jo, mila, mujhe, toh ye saara, sama, badal gaya
Khilne lage hain phoolse meri raah mein
Phir yun, laga, mujhe ke ye dharti, nayi huwi
Naya ambar huwa, teri aur meri chaah mein
Chanchal, hawa, taraana koyi gaaye
Nadiya bhi koyi kahaani kehti jaaye
Jabse mili sajna, tujhse najariya
Ho gayi hai sudh-budh ki mujhse gathhariya
Saanwariya saanwariya
Saanwariya saanwariya, main toh huwi baawariya
Tune mann moh liya... saanwariya ho...
Ye taara woh taara har taara
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Album: Swades
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Swades/Yeh-Tara-Woh-Tara/ChEb
Udit:Hey hey�hey hey hey�eh hey�eh hey
Oh ho ho ho ho ho ho� ho ho�ho ho ho�
Ye taara woh taara har taara -2
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara
(Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara) -2
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit:
Un mein dekhi hai dhanak toh, bolo rang kitne hain
Saath rang kehne ko, phir bhi sang kitne hain
Samjho sabse pehele toh, rang hote akele toh
Indranush banta hi nahin
Ek na ham ho paaye toh, anyaay se ladne ko
Hogi koyi janta hi nahin
Phir na kehna nirbal hai kyun haara hmm�aara taara
Ye taara woh taara har taara -3
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit:
Boond boond milne se, banta ek dariya hai
Boond boond saagar hai, warna ye saagar kya hai
Samjho is paheli ko, boond ho akeli toh
Ek boond jaise kuchh bhi nahin
Ham auron ko chhode toh, munh sabse hi mude toh
Tanha rehna jaaye dekho ham kahin
Kyun na bane milke ham dhaara hmm..aara taara

Vignesh:
Ye taara woh taara har taara -3
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara
Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara

Both:
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit:
Hey hey�hey hey hey�eh hey�eh hey
Oh ho ho ho ho ho oho� ho ho�ho ho ho�

Udit:
Jo kisaan hal sambhaale, dharti sona hi ugaaye
Jo gowaala gaiya paale, dudh ki nadi bahaaye
Jo lohaar loha dhhaale, har auzaar dhhal jaaye
Mitti jo kumbhaar uthhaale, mitti pyaala ban jaaye
Sab ye roop hai mehnat ke, kuchh karne ki chaahat ke
Kissi ka kissi se koyi bair nahin
Sab ke ek hi sapne hain, socho toh sab apne hain
Koyi bhi kissi se yahaan ghair nahin
Seedhi baat hai samjho yaara�hmm�aara taara

Baby Pooja:
Ye taara woh taara har taara -2

Vignesh:
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara

Udit:
Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara

Baby Pooja:
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit & Kids:
Ye taara woh taara har taara -3

Kids:
Ye taara woh taara har taara
Yeh Jo Des Hai Tera
Singer: A.R.Rehman
Music: A.R.Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Album: Swadesh
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Swades/Yeh-Jo-Des-Hai-Tera/XT
Yeh Jo Des Hai Tera, Swades Hai Tera
Tujhe Hai Pukara….

Yeh Woh Bandhan Hai Jo Kabhi Toot Nahin Sakta )…(2)
Mitti Ki Hai Jo Khushboo, Tu Kaise Bhulayega
Tu Chahe Kahin Jayeh, Tu Laut Ke Aayega
Nayee-Nayee Raho Mein, Dabi-Dabi Aaho Mein
Khoyeh-Khoyeh Dil Se Tere Koi Yeh Kahega
Yeh Jo Des Hai Tera, Swades Hai Tera
Tujhe Hai Pukara….

Yeh Woh Bandhan Hai Jo Kabhi Toot Nahin Sakta
Tujhse Zindagi Hai Yeh Kah Rahi
Sab To Pa Liya, Ab Hai Kya Kami
Yun To Sare Sukh Hai Barse, Par Door Tu Hai Apne Ghar Se
Aa Laut Chal Tu Ab Deewane, Jahan Koi To Tujhe Apna Mane
Aawaz De Tujhe Bulane, Wohi Des
Yeh Jo Des Hai Tera, Swades Hai Tera
Tujhe Hai Pukara….

Yeh Woh Bandhan Hai Jo Kabhi Toot Nahin Sakta
Yeh Pal Hai Wohi, Jismein Hain Chhupi
Poori Ik Sadi, Sari Zindagi
Tu Na Pooch Raaste Mein Kahe, Aaye Hain Is Tarah Dorahe
Tu Hi To Hai Raah Jo Sujhayeh, Tu Hi To Hai Ab Jo Yeh Batayeh
Jaye To Kis Disha Mein Jaye, Wohi Des
Yeh Jo Des Hai Tera, Swades Hai Tera
Tujhe Hai Pukara….

Yeh Woh Bandhan Hai Jo Kabhi Toot Nahin Sakta