People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Har Ghadi Dhal
Singer: Amit Kumar
Music: Ajit Verma
Lyricist: Vasant Dev
Tag: Hindi
Video:
har ghadi dhal rahi sham hai jindagi
dard ka dusra nam hai jindagi
har ghadi dhal rahi sham hai jindagi
dard ka dusra nam hai jindagi

aasman hai wahi aur wahi hai jamin
hai mukam gair ka gair hai ya humi
ajnabi aankh si aaj hai jindagi
dard ka dusra nam hai jindagi
har ghadi dhal rahi sham hai jindagi
dard ka dusra nam hai jindagi

kyo khade raah me raah bhi so gayi
apni to chhaw bhi apne se kho gayi
bhatke huye panchhi ki rat hai jindagi
dard ka dusra nam hai jindagi
har ghadi dhal rahi sham hai jindagi
dard ka dusra nam hai jindagi
Andhiyara Gehraya Suna Pan
Music: Ajit Verma
Lyricist: Vasant Dev
Tag: Hindi
Video:
andhiyara ghahraya sunapan ghir aaya
ghabraya man mera charno me aaya
kyu ho tum gumsum kirno ko aane do
mantar ki aankho se karna ko jharne do
andhiya ghahraya sunapan ghir aaya
ghabraya man mera charno me aaya

patto tinko ka ban tha ghar mera
beh gay beh gaya ab kaha basera
bhiga hai man baki kanjariye me palne do
andhiya ghahraya sunapn ghir aaya
ghabraya man mera charno me aaya

ye udasi agar chhayi hai mere liye
pir ki rah bhi hai bani mere liye
sahalu mai har jalan chandan ko palne do
andhiya ghahraya sunapan ghir aaya
ghabraya man mera charno me aaya