tu ang laga ja milan sandhya
kahi rah jaaye naa pyaasi
tu ang laga ja milan sandhya
kahi rah jaaye naa pyaasi
agan man ki kapan tan ki
kahe ab jaag sanyaasi
kaahe tarse tu kaahe tarsaaye
dekh lahraaye rup ka sagar
aa aa kaahe tarse tu kaahe tarsaaye
dekh lahraaye rup ka sagar
bakhar saritaaye baanh failaaye
dub ke bhar le preet ki gagar
tu nahi jaane tu na pahchane
janam se main teri daasi
tu ang laga ja milan sandhya
kahi rah jaaye naa pyaasi
agan man ki kapan tan ki
kahe ab jaag sanyaasi
tu jise puje tu jise chahe
uski rachna se dur kyun bhaage
aa aa tu jise puje tu jise chahe
uski rachna se dur kyun bhaage
mere man se jo baandh le man ke
aur bhi teri aatma jaage
kar jap kaahe kare tap kaahe
tyag de van ko vanvasi
tu ang laga ja milan sandhya
kahi rah jaaye naa pyaasi
tu ang laga ja milan sandhya
kahi rah jaaye naa pyaasi
agan man ki kapan tan ki
kahe ab jaag sanyaasi
mera mahka badan
mera mahka badan, phul hain koi shola nahi
mera mahka badan, phul hain koi shola nahi
kya khilegi javaani meri
tune chhu ke bhi dekha nahi
o mera mahka badan, phul hain koi shola nahi
jhum ke angdaai lene ko fira
aise me jo paya maine tera saath
jhum ke angdaai lene ko fira
aise me jo paya maine tera saath
gaati dhadakan meri kahane lagi
pyaar me koi parda nahi
mera mahka badan, phul hain koi shola nahi
maan le tu meri bahaon ka savaal
saamne hain tere mere dil ka haal
maan le tu meri bahaon ka savaal
saamne hain tere mere dil ka haal
yun na sata tera mera dil ke sivaa
aur koi bhi rishta nahi
mera mahka badan, phul hain koi shola nahi
kya khilegi javaani meri
tune chhu ke bhi dekha nahi
o mera mahka badan, phul hain koi shola nahi
jogi re jogi, jogi re jogi
jogi re jogi, jogi re jogi
kahi to jogan teri bhi hogi
hogi re jogan koi teri hogi
tujhe na bana de kahi prem ka rogi
ho tujhe na bana de kahi prem ka rogi
jogi re jogi, jogi re jogi
kahi to jogan teri bhi hogi
hogi re jogan koi teri hogi
tujhe na bana de kahi prem ka rogi
ho tujhe na bana de kahi prem ka rogi
itane baras tere jog me bite
ab jinaa hai rang mahal me
haa itane baras tere jog me bite
ab jinaa hai rang mahal me
sau sau rang badal jaate hain
in mahlo me ek ek pal me
bade bade jogi yaha ban jaye bhogi
tujhe na bana de kahi prem ka rogi
ho tujhe na bana de kahi prem ka rogi
koi saloni kabhi chupke se aaye
ankhiyon ke raste man me samaye
ha koi saloni kabhi chupke se aaye
ankhiyon ke raste man me samaye
madhur milan ki pyaas jage to
jap tap saiyam kaam na aaye
aisi khushi ko kahin dekhi na hogi
tujhe na bana de kahi prem ka rogi
ho tujhe na bana de kahi prem ka rogi
bairaagi ye bhesh badal ke
dekh kabhi is aag me jal ke
are bairaagi ye bhesh badal ke
dekh kabhi is aag me jal ke
kya anjana sukh milta hain
prem ki paavan raah pe chal ke
man bharmaaye koi pari sapno ki
tujhe na bana de kahi prem ka rogi
ho tujhe na bana de kahi prem ka rogi
jogi re jogi, jogi re jogi
kahi to jogan teri bhi hogi
hogi re jogan koi teri hogi
tujhe na bana de kahi prem ka rogi
ha tujhe na bana de kahi prem ka rogi
tujhe na bana de kahi prem ka rogi
ho tujhe na bana de kahi prem ka rogi
o tute dilo ka le pyaar jogi
tute dilo ka le pyaar jogi
aaja khule hai sab dwaar jogi
tute dilo ka le pyaar jogi
tujhe dekh jaagi hain charo dishayen
tera naam lekar chali hain havaayen
he parvat ye jharne tere geet gaaye
namaskaar jogi, namaskaar jogi
tute dilo ka le pyaar jogi
aaja khule hai sab dwaar jogi
tute dilo ka le pyaar jogi
tere saath aaya nagariya me saavan
hara ho gaya sukhi dharti ka aangan
khile phul kaliya to mahke hain madhuban
kiya hampe tune ye upkaar jogi
tute dilo ka le pyaar jogi
aaja khule hai sab dwaar jogi
tute dilo ka le pyaar jogi
gagan se baharon ki utri hain doli
muradon se bhar li hain pedo ne jholi
lo panchhi lage bolane mithi boli
dikhaya ye kaisa chamatkaar jogi
tute dilo ka le pyaar jogi
tute dilo ka le pyaar jogi
aaja khule hai sab dwaar jogi
tute dilo ka le pyaar jogi