People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Nadiya Se Dariya
Singer: Kishore Kumar
Music: R.D.Burman
Lyricist: Anand Bhakshi
Album: Namak Haram
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Namak-Haraam/Nadiya-Se-Dariya
Nadiya Se Dariya, Dariya Se Sagar,
Sagar Se Gahera Jam (2)
Ho Ho Ho Jam Me Doob Gayi Yaro Mere Jeevan Ki Har Shaam.
Nadiya Se Dariya

Jo Na Piye Wo Kya Jane, Pite Hain Kyun Hum Diwane Yaar Aaha,
Jabse Humne Pina Sikha, Jeena Sikha Marna Sikha Yaar Aaha,
Ho Hum Jab Yun Nashemain Dagmagane Lag Gaye,
Ho Ho Ho Dil Ki Becheni Ko Aaya Thoda Sa Aaram.
Nadiya Se Dariya

Mera Kya Main Gum Ka Maara, Nashe Me Aalam Hai Sara Yaar Aaha,
Kisi Ko Dolat Ka Nasha Kahin Muhobat Ka Nasha Yaar Aaha,
Ho Kahe Kar Ai Sharabi Sab Pukare Ab Mujhe,
Ho Ho Ho Aur Koyi Tha, Ye To Nahi Tha Pahele Mera Naam.
Nadiya Se Dariya
Diye Jalte Hai
Singer: Kishore Kumar
Music: R.D.Burman
Lyricist: Anand Bhakshi
Album: Namak Haram
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Namak-Haraam/Diye-Jalte-Hai/M
Diye Jalte Hain, Phool Khilte Hain, Diye Jalte Hain, Phool Khilte Hain
Badi Mushkil Se, Magar, Duniya Mein Dost, Milte Hain, Diye Jalte Hain

Jab Jis Waqt Kisi Ka, Pyar Juda Hota Hai, Kuchh Na Poochho, Yaron Dil Ka, Haal Bura Hota Hai,
Jab Jis Waqt Kisi Ka Pyar Juda Hota Hai, Kuchh Na Poonchho Yaron Dil Ka Haal Bura Hota Hai,
Dil Pe Yadon Ke Jaise, Teer Chalte Hain, Ahanha
Diye Jalte Hain, Phool Khilte Hain, Diye Jalte Hain

Is Rang Roop Pe Dekho, Hargiz Naaz Na Karna, Jaan Bhi Mange, Yaar To Dede Na, Naraz Na Karna,
Rang Ud Jate Hain, Dhoop Dhalte Hain, Hmhmhm
Diye Jalte Hain, Phool Khilte Hain, Diye Jalte Hain

Daulat Aur Jawani, Ek Din Kho Jaati Hain, Sach Kahta Hoon, Saari Duniya, Dushman Ho Jaati Hai,
Umr Bhar Dost Lekin Saath Chalte Hain Hmmhm
Diye Jalte Hain, Phool Khilte Hain, Badi Mushkil Se, Magar, Duniya Mein Dost Milte Hain
Diye Jalte Hain.