Tere naam se hi roshan mera hai jahaan
Tere sath se hi raatein meri hain subah
Ow… mm…
Honge juda na hum, tum se tum se
Aur kahein kya hum, tum se tum se
Tere naam se hi roshan mera hai jahaan
Tere sath se hi raatein meri hain subah
Honge juda na hum, tum se tum se
Aur kahein kya hum…
Tu dastaan koi, tu hai koi ek nazm sa
Sunta rahun tujhe main ab sham-o-subah
Dil ka sukoon tu hi marham har marz ka
Tujh bin katey nahi ek pal bhi ab mera
Tere naam se hi roshan mera hai jahaan
Tere sath se hi raatein meri hain subah
Honge juda na hum tumse tumse
Aur kahein kya hum tumse tumse…
Mera safar hai tu, tu mera karwaan
Ab har manzil tu hi, tu hi hai rasta
Aisa hua asar yeh tere ishq ka
Dastak teri suney toh dhadke dil mera
Tere naam se hi roshan mera hai jahaan
Tere sath se hi raatein meri hain subah
Honge juda na hum, tum se tum se
Aur kahein kya hum, tum se tum se
Honge juda na hum, tum se tum se
Aur kahein kya hum, tum se tum se.
Pal ek pal mein hi tham sa gaya
Tu haath mein haath jo de gaya
Chalun main jahaan jaaye tu
Daayein main tere, baayein tu
Hoon rut main, hawayein tu
Saathiya…
Hansu main jab gaaye tu
Roun main murjhaaye tu
Bheegun main barsaaye tu
Saathiya…
Saaya mera hai teri shakal
Haal hai aisa kuch aajkal
Subah main hoon tu dhoop hai
Main aaina hoon tu roop hai
Yeh tera saath khoob hai
Humsafar…
Tu ishq ke saare rang de gaya
Phir kheench ke apne sang le gaya
Kahin pe kho jaaye jo
Jahaan ruk jaaye pal
Kabhi naa phir aaye kal
Saathiya…
Ek maange agar sau khwaab doon
Tu rahe khush, main aabad hoon
Tu sabse juda juda sa hai
Tu apni tarah tarah sa hai
Mujhe lagta nahi hai tu doosra
Pal ek pal mein hi tham sa gaya
Tu haath mein haath jo de gaya
Chalun main jahaan jaaye tu
Daayein main tere, baayein tu
Hoon rut main, hawayein tu
Saathiya…
Hansu main jab gaaye tu
Roun main murjhaaye tu
Bheegun main barsaaye tu
Saathiya… ho… mm…
mmm…
Main jitna tumhe dekhun
Mann yeh na bhare
Main jitna tumhe sochun
Mann yeh na bhare
Inn aankhon mein chhalakta hai
Mera pyar tera pyar
Kahin tujh mein dhadakta hai
Mera pyar tera pyar
Mera pyar tera pyar
Mera pyar tera pyar…
Main jitna tumhe dekhun
Mann yeh naa bhare
Main jitna tumhe sochun
Mann yeh naa bhare
Thoda sa mera hai thoda tumhara
Mila-jula sa yeh khwaab humaara
Ek meethi dhunn sunaayi
de rahi hai aaj kal
Hans ke saare gham humaare
dega khushiyon mein badal
Mera pyar tera pyar
Mera pyar tera pyar…
Main jitna tumhe dekhun
Mann yeh na bhare
Main jitna tumhe sochun
Mann yeh na bhare
Koi nahi sau saal jiya hai
Pyar magar kaayam rehta hai
Dhoop khushboo aur hawayein
Banke yeh reh jaayega
Baad apne bhi humaare
Yeh jahaan mehkayega
Mera pyar tera pyar
Mera pyar tera pyar
Main jitna tumhe dekhun
Mann yeh na bhare
Main jitna tumhe sochun
Mann yeh na bhare.
Yahin rahoge tum mujhme mujhme
Tumhe basa lungi dil me dil me
Nazdeeqiyan le jaao apne saath me
Yeh dooriyan rehne do mere paas me
Yahin rahoge tum mujh mein mujh mein
Tumhe basa lungi dil mein
Dekho toh pyaar ye le aaya hai kahaan
Reh kar ke door bhi tum rehte ho yahan
Kar lungi zindagi main tera saamna
Mujhko toh mill gaya chahat ka aasmaan
Iss dard ko beh jaane do barsaat mein
Ikk saans ban ke reh jaao na paas mein
Yahin rahoge tum mujh mein mujh mein
Tumhe basa loongi dil mein dil mein…
Yahin rahoge tum mujh mein mujh mein
Tumhe basa loongi dil mein dil mein…
Yahin rahoge tum mujh mein mujh mein
Tumhe basa loongi dil mein dil mein…
Sambhaloge jo tum na toh
Main jaaungi kahaan
Tumhe bhi to pata hoga
Tumhari hoon main na
Yeh tera mera rishta
Khuda ne banaya hai na
Tabhi toh milaya zameen pe
Hai na?
Mujhe tujhme panaah dena
Tere jaisa bana de
Kho jaaun kahin jo main
Mujhe dhoondh tu la dena
Mujhe tujhme panaah dena
Tere jaisa bana de
Kho jaaun kahin jo main
Mujhe dhoondh tu la dena
Aaye jo tu
Khuda kare, hoke juda jaaye na
Na ho agar tu saamne
Sukoon dil paaye na
Hum saath mein baithe rahein
Waqt ruk jaaye yeh
Noor ishq ka aaye nazar
Haan tere mere liye
Yeh tera mera rishta
Khuda ne banaya hai na
Tabhi to milaya zameen pe
Hai na…
Mujhe tujhme panaah dena
Tere jaisa bana de
Kho jaaun kahin jo main
Mujhe dhoondh tu la dena
Mujhe tujhme panaah dena
Tere jaisa bana de
Kho jaaun kahin jo main
Mujhe dhoondh tu la dena
Haan dena…
Maine tujhe paaya to hai qismaton se abhi
Do qismatein milti huyi kho na jaaye kahin
Jee le zara iss pal mein aa saari ye zindagi
Do zindagi phir ajnabi ho na jaaye kahin
Yeh tera mera rishta Khuda ne banaya hai na
Tabhi to milaya zameen pe, hai na…
Mujhe tujhme panaah dena
Tere jaisa bana de
Kho jaaun kahin jo main
Mujhe dhoondh tu la dena
Mujhe tujhme panaah dena
Tere jaisa bana de
Kho jaaun kahin jo main
Mujhe dhoondh tu la dena
Pehle ke jaisa kuch bhi nahi hai
Din raat aankhon mein ik nami hai
Pehle ke jaisa kuch bhi nahi hai
Din raat aankhon mein ik nami hai
Pehle ke jaise mausam nahi hai
Baadal toh hai par barish nahi hai
Iss mod pe aa gaye hum batao
Raahein toh hain, humsafar hi nahi hai!
Aao chalein hum phir se wahaan pe
Jahaan pe kabhi khushbuon se miley the
Shayad wahin pe kahin kuch bacha ho
Jahaan pe kabhi saath hum tum chale thhe
Jisey kho diya hai
Khatam ho gaya hai
Uss pyar ko zindagi denge phir se
Qismat humein leke aayi kahaan pe
Samay chal raha hai magar hum ruke hain
Mere khwaab sab aakhiri saans leke
Gehraaiyon mein dafan ho chuke hain
Na awaaz koi hai hum tak pahuchti
Badi door khud se hum ja chuke hain
Rishton mein khamoshiyan aa gayi hain
Seene mein bhi dhadkano ki kami hai
Pehle ke jaise mere paas aao
Zaroorat hai humko gale se lagaao
Nahin raas aate hain humko andhere
Chalo chheen laayein phir woh savere
Chalo chheen laayein phir woh savere.