Jhoomo
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=7zR3rb2ZvoE
Video:
Ho Andheron Mein Kho Gayi Thi
Ab Main Jugnu Ban Gayi Hoon
Khoya Tha Jo Kab Ka Maine
Wo Sab Pa Gayi Hoon
Pal Mein Khud Ko Rok Do
Dhadkan Dil Se Jod Do
Jhoomo Jhoomo
Yadon Ko Yun Mod Do
Pagalpan Ko Odh Do
Jhoomo Jhoomo
Adhuri Si Baten Adhuri Se Raaz
Phir Bhi Mujhko Tu Hi Lagta Sabse Khaas
Tera Ye Nasha Hai Mere Sar Chada
Har Pal Mujhko Tu Hi Lagta Sabse Paas
Dubi Thi Ab Ud Gayi Hoon
Ab To Main Bhi Rang Gayi Hoon
Khoya Tha Jo Kab Ka Maine
Wo Sab Pa Gayi Hoon
Pal Mein Khud Ko Rok Do
Dhadkan Dil Se Jod Do
Jhoomo Jhoomo
Sari Fikrein Chhod Do
Dil Ki Baten Bol Do
Jhoomo Jhoomo
Isko Pal Ko Rok Do
Dil Se Dil Jod Do
Jhoomo Jhoomo Jhoomo
Aahen Ab Khol Do
Batein Sab Bol Do
Jhoomo Jhoomo Jhoomo
Palon Pe Rakh Loon Tujhe
Tere Sang
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=CW06putPQt0
Video:
Palkon Pe Rakh Loon Tujhe
Dil Ki Yahi Hai Ab Duaa
Maine Toh Maana Hai Tujhe
Seene Mein Saanson Ki Tarah
Tu Jahaan Bhi Jaaye Jaaun Tere Sang
Dil Ki Hai Yahi Manzoori
Tere Sang Har Jagah Tu Mera Raasta
Sang Tere Main Rahoon Sadaa
Tere Sang Har Jagah Tu Mera Raasta
Sang Tere Main Rahoon Sadaa
Dil Ye Mera Jo Keh Naa Sakaa
Aankhein Meri Keh Gayin
Halka Saa Ehsaas Hone Lagaa
Main Toh Teri Ho Gayi
Ye Jo Nasha Hai Pehli Dafaa
Dil Pe Kaaboo Naa Rahaa
Aayi Jo Meri Zindagi Mein
Jeena Mujhe Aa Rahaa
Sapne Woh Saare Jee Lenge Sang
Is Pal Mein Naa Ho Doori
Tere Sang Har Jagah Tu Mera Raasta
Sang Tere Main Rahoon Sadaa
Tere Sang Har Jagah Tu Mera Raasta
Sang Tere Main Rahoon Sadaa
Re Bawri
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=mu3TyCM1W18
Video:
Re Bawri
Sar Pe Mere Kyun Mandrati Ho Tum
Re Bawri
Aise Peechhe Kyun Pad Jaati Ho Tum
Re Bawri
Sar Pe Mere Kyun Mandrati Ho Tum
Re Bawri
Shayad Ho Mere Afsaanon Mein
Afsaanon Mein Gum
Re Bawri
Ishq Ke Raste Jalte Sulagte
Dilwale Darte Na Khatron Se
Gehraai Ko Wo Kya Samjhein
Khele Jo Bas Lehron Lehron Se
Kya Milega Yun Tumhein Nazdeek Aa Kar Ke
Le Nahi Sakta Koi Kismat Chura Kar Ke
Re Bawri
Sach Se Kaahe Yun Ghabrati Ho Tum
Re Bawri
Dar Ke Peechhe Kyun Hatt Jaati Ho Tum
Re Bawri
Ye Kaun Si Duniya Se Aati Ho Tum
Re Bawri
Shayad Ho Mere Afsaanon Mein
Afsaanon Mein Gum
Re Bawri
Re Bawri
Tum Ho Wahi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=dF5rKQ0mSc8
Video:
Khud Se Bhi Main To Anjaan Thi
Tune Raston Ki Pehchan Di
Tere Bin Main Toh Adhuri Hui
Tujhse Puri Kahani Meri
Pake Jise Payi Khushi
Tum Ho Wahi Tum Ho Wahi Tum Ho Wahi
Jisko Kabhi Khona Nahi
Tum Ho Wahi Tum Ho Wahi Tum Ho Wahi
Tum Ho Wahi
You Are The One For Me
Tum Ho Wahi
You Are The One For Me
Kaise Ho Baya Ho Tu Hi Devta
Milne Se Tere Jo Mila
Haan Aankhon Ki Nami Yeh Tera Hi Pata
Khushiyon Ka Shukraneka
Ho Yaar Yeh Keemti
Hai Magar Kaanch Se
Toote Kabhi Ye Bhool Se Bhi Na
Jisne Mujhe Di Dsoti
Tum Ho Wahi Tum Ho Wahi Tum Ho Wahi
Jisko Kabhi Khona Nahi
Tum Ho Wahi Tum Ho Wahi Tum Ho Wahi
Milke Jise Payi Khushi
Tum Ho Wahi Tu Ho Wahi Tu Ho Wahi
Jisko Kabhi Khona Nahi
Tu Ho Wahi Tu Ho Wahi Tu Ho Wahi
Tum Ho Wahi
You Are The One For Me
Tum Ho Wahi
You Are The One For Me
Bandey
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=oqK1NQR8zro
Video:
Daudey Jaaye Kahin Bhaage-Bhaage
Aise Na Nazar Chura
Khud Se Hi Ye Baatein Chhupaata Phire
Kyon Tu Bhala
Bandey Tu Jaayega Kahan
Tujhko Hai Tera Intezaar
Sun Le Apne Dil Ki Sada
Jaayega Tu Kahan
Bandey Jaayega Tu Kahan
Kya Mila Tujhe Ye Dil Jala Ke
Mat Ye Aansu Baha
Khud Ke Paas Kyon Laut Aata Nahin Tu Is Dafa
Ham Khoye Se Soye Se Chalte Jaate Hain
Ye Toote Se Dil Kal Phir Se Jud Jaate Hain
Bandey Tu Jaayega Kahan
Khud Ko Tu Paayega Kahan
Tera Koi Hai Wahan
Jaayega Tu Kahan
Bandey Jaayega Tu Kahan
Chal Khud Ko Tu Aazma Le
Kuch Hanka Bhi Le Maza
Tu Ruke Se Bhi Na Rukega Zara Kar Faisla
Bhatke Hi Jaise Ghar Wapas Aate Hain
Tere Ghar Ke Raaste Tujhko Bulaate Hain
Bandey Tu Jaayega Kahan
Tujhko Hai Tera Intezaar
Bandey Tu Jaayega Kahan
Tujhko Hai Tera Intezaar
Sun Le Apne Dil Ki Sada
Jaayega Tu Kahan