Naazaan ho kaise na haram
Jisne dekha tha ali
Saare hi jahaanon ne kaha
Waliyon ka tu hi wali,
Jaane tu raaz-i kaainaat
Tu jaane har baat
Hai maula tu ali maula,
Man kunto maula (x3)
Man kunto maula fa-haaza ali-yun maula.
Man kunto maula (x2)
Tu hai kih jis ko nabi ka gharaanah mila
Noor-e khuda se munawwar thikaanah mila
Maula ne maula kaha gawaahi mili
Kaisa zindah tujhe zamaanah mila,
Ho yahan bhi wahan bhi
Jo bhi hai haidari bole ya ali
Sab ka hai yaqeen
Dil jo dhadke to naara lage ya ali,
Man kunto maula
Maula maula maula (x2)
Man kunto maula (x2)
Husn-e haqq waaqif-e asraar-e jali yaad aaya
Markaz-i faqr do ‘aalam ka wali yaad aaya
Jab kabhi maah-e rajab sahn-e haram se guzra
Jab kabhi maah-e rajab sahn-e haram se guzra
Muskaraate hue kaabe ko ali yaad aaya
Man kunto maula
Maula maula
Man kunto maula
Maula
Man kunto maula
Maula maula
Fa-haaza ‘ali-yun maula Fa-haaza ‘ali-yun maula
Man kunto maula
Man kunto maula fa-haaza ali-yun maula.
Maula ali maula (x5)
Maula ali maula (x5)
Khusro nijaam ud-din ke dar par
Khusro nijaam
Nizamuddin auliya, khusrau
Khusro nijaam ud-din ke
Nizamuddin auliya, khusrau
Khusro nijaam ud-din ke dar par
Gaayen qaul qalbaanah re
Gaayen qaul qalbaanah re
Gaayen qaul qalbaanah re
Man kunto maula
Maula
Jism jaise mahakti hui chandani
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise kih khilta hua ik chaman
Jism jaise kih sooraj ki pahli kiran
Jism tarsha huwa dil-kash o dil-nisheen
Sandaleen sandaleen
Marmareen marmareen
Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe ham-nisheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)
Jaane kaise baandhe tu ne akhiyon ke dor
Man mera khincha chala aaya teri or
Mere chehre ke subh zulfon ki shaam
Mera sab kuchh hai piya ab se tere naam
Nazron ne teri chhuwa
To hai yih jaadu hua
Hone lagi hoon main haseen
Aafreen Aafreen Aafreen
Chehra ik phool ki tarh shaadaab hai
Chehra us ka hai ya koyi mahtaab hai
Chehra jaise ghazal chehra jaan-I ghazal
Chehra jaise kali chehra jaise kanwal
Chehra jaise tasawwur bhi tasweer bhi
Chehra ik khaab bhi chehra taa’beer bhi
Chehra koyi alf lailawi daastaan
Chehra ik pal yaqeen chehra ik pal gumaan
Chehra jaisa ke chehra kaheen bhi nahi
Maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen
Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe ham-nisheen
Afreen afreen
Afreen afreen
Husn e jaanaan ki tareef mumkin nahi (x2)
Bhole bhale bhole bhale
Bhole bhale bhole bhale
Bhole bhaale bhole bhaale saiyaan
More bhole bhaale saiyaan
O more bhole bhaale saiyaan.
O more bhole bhaale saiyaan
More bhole bhaale saiyaan re
Karte hain kaisi nayi baat re (x2)
Ho aise pakde dil ka chor
Jaise mashli kaanta dor
Hamraahi aise jaise
Koyi maanjhi chale saath re
More bholay bhalay saiyaan
More bholay bhalay saiyaan re
Karte hain kaisi nayi baat re (x2)
Saiyaan ki boli bolen honth raseele
Naino se baatein karte nain nasheele
Baali yeh chheren mori
Kheeche yeh mann ki dori
Dekho hain saiyaan kaise chhail chhabeele.
Dekho kaise hain rang-rez
Sare rang hain inke tez
Rabb jaane kaisi hai
Yeh raazon wali mulaaqaat re.
More bholay bhalay saiyaan
More bholay bhalay saiyaan re
Karte hain kaisi nayi baat re (x2)
Saiyaan ne poori kardi aas milan ki
Chingari bhadki hai yih prem agan ki
Waise to har jag men hain
Utre wuh rag-rag men hain
Baandhi hai saiyaan ne yoon dor lagan ki
Chahe din ho chahe rain
Wahi man ka hain sukh chain
Laage aise jaise
Unke haathon men ho mera haath re
More bholay bhalay saiyaan
More bholay bhalay saiyaan re
Karte hain kaisi nayi baat re (x2)
Aise pakren dil ka chor
Jaise macchli kaanta dor
Hamraahi aise jaise
Koyi maanjhi chale saath re
More bhole bhaale saiyaan re
More bhaale saiyaan
Karte hain kaisi nayi baat re.
O more bholay bhalay saiyaan
More bholay bhalay saiyaan re
Karte hain kaisi nayi baat re