People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

aaja zara mukhra dikha ja
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Amar Khanna
Album: Baawra(1950)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Bawra/Aaja-Zara-Mukhra-Dikha-
aaja aaja aaja aaja jara
mukhda dikha ja nahin chain pade raja
o salone balma ho ho ho
aaja aaja aaja aaja jara
mukhda dikha ja nahin chain pade raja
o salone balma ho ho ho
aaja aaja aaja aaja jara
mukhda dikha ja

laagi laagi laagi mohe preet tori laagi
laagi laagi laagi mohe preet tori laagi
log kahen hai abhaagi
o salone balma ho ho ho
aaja aaja aaja aaja jara
mukhda dikha ja

aaye aaye aaye kaare kaare badal aaye
aaye aaye aaye kaare kaare badal aaye
mora jiya ghabraaye
o salone balma ho ho ho
aaja aaja aaja aaja jara
mukhda dikha ja nahin chain pade raja
o salone balma ho ho ho
aaja aaja aaja aaja jara
mukhda dikha ja
do dinka mela hai
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Gafil Harnalvi
Album: Baawra(1950)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Bawra/Do-Din-Ka-Mela-Hai/Ryoz
do din ka mela hai
teri mehman jawani hai
sajan ye dunia pani hai
do din ka mela hai
teri mehman jawani hai
sajan ye dunia pani hai

do din jag me haskar jeele
man hi man me aasu peele
do din jag me haskar jeele
man hi man me aasu peele
sukh dukh ka sansar tera
ye teri kahani hai
sajan ye sajan ye
sajan ye dunia pani hai
do din ka mela hai
teri mehman jawani hai
sajan ye dunia pani hai

khula bazar hai jholi bharle
balam jawani me kuch karle
khula bazar hai jholi bharle
balam jawani me kuch karle
dilwale kar dil ka sauda
ummid purani hai
sajan ye dunia pani hai
do din ka mela hai
teri mehman jawani hai
sajan ye dunia pani hai

aa sansar ko gale laga le
sari dunia ek bana le
aa sansar ko gale laga le
sari dunia ek bana le
dunia wale amar preet ki
yahi nishani hai
sajan ye sajan ye
sajan ye dunia pani hai
do din ka mela hai
teri mehman jawani hai
sajan ye dunia pani hai
is dilka bungla khali
Lyricist: Gafil Harnalvi
Album: Baawra(1950)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Bawra/Is-Dil-Ka-Bungla-Khali-
is dil ka bangla khaali hai
is dil ka bangla khaali hai
aur iska kiraya koi nahi
chaudah baras se babuji
is bangle me aaya koi nahi
hay bangle me aaya koi nahi
is dil ka bangla khaali hai

ae gori is bangle ke
hum datte hain saudai
lekin bebas hai sajni
aaj kal hai mahngaai
pagdi dena mushkil hai
pagdi dena mushkil hai
ho iska kiraya koi nahi
chaudah baras se babuji
is bangle me aaya koi nahi
hay bangle me aaya koi nahi
is dil ka bangla khaali hai

pagdi se hi izzat hai babu
topi englishtaan gaye
pagdi ke saude me ab topi ki
sari shan gayi
pagdi walo ke bangle par
pagdi walo ke bangle par
ab tak chaya koi nahi
chaudah baras se babuji
is bangle me aaya koi nahi
hay bangle me aaya koi nahi
is dil ka bangla khaali hai

aise bangle se gori
apni kholi acchi hai
dhanwaano ke jhurmut se ye
apni toli achi hai
paiso ka bhagwan hai paisa
paiso ka bhagwan hai paisa
apna paraya koi nahi
chaudah baras se babuji
is bangle me aaya koi nahi
hay bangle me aaya koi nahi
is dil ka bangla khaali hai

apni kholi hume bula le
babu bangla chodungi
dhanwaano se preet tod kar
dilwaalo se jodungi
aao hum tum mil jaye
aao hum tum mil jaye
bas baat bakaya koi nahi
chaudah baras se babuji
is bangle me aaya koi nahi
hay bangle me aaya koi nahi
meri duniya ki shayad har khushi
Singer: Geeta Dutt
Album: Baawra(1950)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Bawra/Meri-Duniya-Ki-Shayad-H
meri duniya ki shayad har khushi kam hoti jaati hai
meri duniya ki shayad har khushi kam hoti jaati hai
ummeden mitati jati hain hanshi gum hoti jati hain
ummeden mitati jati hain hanshi gum hoti jati hain
meri duniya ki shayad har khushi kam hoti jaati hai

wahi rangeeniyan dilchaspiyaan ab bhi hai duniya mein
magar mere liye har dilkashi kam hoti jaati hai
ummeden mitati jati hain hanshi gum hoti jati hain
meri duniya ki shayad har khushi kam hoti jaati hai

najar aai thi manjil deep ujle the ujale mein
kiran wo roshani ki aaj madham hoti jati hain
ummeden mitati jati hain hanshi gum hoti jati hain
meri duniya ki shayad har khushi kam hoti jaati hai

hansi fiki fiki si hai, wafa? bhi hai pareshan sa
ki ab to jindagi se jindagi kam hoti jati hai
ummeden mitati jati hain hanshi gum hoti jati hain
meri duniya ki shayad har khushi kam hoti jaati hai
saahil jo dubo de kashti ko
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Amar Khanna
Album: Baawra(1950)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Bawra/Saahil-Jo-Doobo-De-Kash
saahil jo dubo de kashti ko
saahil jo dubo de kashti ko
saahil ki tamanna kaun kare
saahil jo dubo de kashti ko
aaraam na ho jis manzil par
manzil ki tamanna kaun kare
saahil jo dubo de kashti ko

jab dukh hi dukh ho duniya me
roto pe hans de mahafil me
duniya se mohabbat kisko ho
mahafil ki tamanna kaun kare
saahil jo dubo de kashti ko

jab jaal bichha ho gulshan me
aur kaante uljhe daaman me
us baag ki khwaahish kaun kare
us gul ki tamanna kaun kare
saahil jo dubo de kashti ko

ummid miti dil toot gaya
wo samma bujhi wo dil na raha
tute huye dil se hansti hui
mahafil ki tamanna kaun kare
saahil jo dubo de kashti ko
saahil ki tamanna kaun kare
saahil jo dubo de kashti ko
shaama jalti hi tho
Lyricist: Gafil Harnalvi
Album: Baawra(1950)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Bawra/Shama-Jalti-Hai-To-Parw
shama jalti hai to parwane chale aate hain
chale aate hai
sar ke bal ishq ke deewane chale aate hai
chale aate hai
sar ke bal ishq ke deewane chale aate hai
chale aate hai
shama jalti hai to parwane chale aate hain
chale aate hai
shama jalti hai to parwane chale aate hain
chale aate hai

kaun ye dil mein basa hai ki mere hontho par
kaun ye dil mein basa hai ki mere hontho par
gungunate huye afsane chale aate hain
gungunate huye afsane chale aate hain
chale aate hain
shama jalti hai to parwane chale aate hain
chale aate hai

aa gale mil kar kare pyaar ki do do baatein
aa gale mil kar kare pyaar ki do do baatein
phool kaanto ko samjhane ye chale aate hain
phool kaanto ko samjhane ye chale aate hain
shama jalti hai to parwane chale aate hain
chale aate hai

dil ko to pehali hi najar me banaya apna
dil ko to pehali hi najar me banaya apna
unko bhi apna wo banane chale aate hai
unko bhi apna wo banane chale aate hai
chale aate hai
shama jalti hai to parwane chale aate hain
chale aate hai
shama jalti hai