Jab Dil Se Dhuaan Utha Barsaat Ka Mausam Tha
Sau Dard Diye Usne Jo Dard Ka Mehram Tha
Humne Hi Sitam Dhaaye Humne Hi Qahar Tode
Dushman The Hum Hi Apne Auron Mein Kahan Dum Tha
Milta Hai Jo Kisson Mein Woh Pyaar Diya Tune
Hum Phir Bhi Rahe Khali Hum Phir Bhi Rahe Sune
Do Boond Ki Baarish Tu Hum Pyaas The Sehra Ki
Jitna Hi Tujhe Paaya Utna Hi Humein Kam Tha
Dushman The Hum Hi Apne Auron Mein Kahan Dum Tha
Koi Aadha Adhoora Sa Vaada Humein Yaad Aaya
Khat Likhne Tujhe Baithe Kya Kya Humein Yaad Aaya
Likha To Bahut Kuch Tha Par Bheja Nahi Humne
Chooke Jo Zara Dekha Kaagaz Woh Bahut Nam Tha
Dushman The Hum Hi Apne Auron Mein Kahan Dum Tha
Kisi Roz Baras Jal Thal Kar De
Na Aur Sata O Sahib Ji
Main Yugon Yugon Ki Trishna Hoon
Tu Meri Ghata O Sahib Ji
Main Yugon Yugon Ki Trishna Hoon
Tu Meri Ghata O Sahib Ji
Kisi Roz Baras Jal Thal Kar De
Na Aur Sata O Sahib Ji
Pathhar Jag Mein Kaanch Ke Lamhe
Kaise Sahejoon Samajh Na Aaye
Tere Mere Beech Mein Jo Hai
Gyani Jag Ye Jaan Na Paaye
Tan Me Teri Chhuan Talashoon
Man Mein Tere Jhap Piya
Bhaap Ke Jaise Pal Ud Jayein
Preet Ko Hai Shraap Piya
Kaise Rokoon Jal Anjuri Mein
Bhed Bata O Sahib Ji
Kisi Roz Kisi Roz
Kisi Roz Baras Jal Thal Kar De
Na Aur Sata O Sahib Ji
Main Yugon Yugon Ki Trishna Hoon
Tu Meri Ghata O Sahib Ji
Kisi Roz Baras Jal Thal Kar De
Na Aur Sata O Sahib Ji
Ae Dil Zara Kal Ke Liye Bhi Dhadak Lena
Ye Aaj Ki Shaam Sambhal Ke Rakh Lena
Khan Aise Lamhe Aayenge Phir
Ye Aag Hawaaon Mein Hogi Kahan
Ke Roj Tu Bahon Mein Hogi Kahan
Yeh Sochke Jaan Nikalti Hai
Tum Aaj Ke Baad Milogi Kahan
Ye Aanch Mili Hain Toh Aaj Dehak Lena
Ae Dil Zara Kal Ke Liye Bhi Dhadak Lena
Jahan Se Chale The Wahi Pe Mile Aakar
Hai Ek Paheli Ke Jaisa Hamara Safar
Jo Khoya Voh Kya Wapas Payenge Phir
Bataaun Tumhein Kya Zidein Dil Ki
Jo Bhul Chuka Voh Bhi Yaad Raha
Main Tumse Bichhad Ke Bhi Jaane Kyun
Har Waqt Tumhare Hi Saath Raha
Ae Dil Zara Tham Kabhi Aur Tadap Lena
Ye Aaj Ki Shaam Sambhal Ke Rakh Lena