mujhe marna hai yar ki gali mein
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Atmaram/Mujhe-Marna-Hai-Yaar-
kahan hai vo jinhe hai naj in kinaro par
mujhe ganga ki god mein bhi ye baajar mila
mujhe marna mujhe marna hai yar ki gali mein
mujhe marna hai yar ki gali mein
aaj katil se kah de koi
mujhe marna hai yar ki gali mein
mujhe marna hai yar ki gali mein
aaj katil se kah de koi
mujhe marna hai yar ki gali mein
bewafai ka kyun tujhko iljam du
main twayaf hu mera ye anjaal tha
bewafai ka kyun tujhko iljam du
main twayaf hu mera ye anjaal tha
ye badan to bana hai numaish ko hi
jindagi mein teri iska kya kaam tha
kisi ghar mein kisi ghar mein na lagati bhali main
kisi ghar mein na lagati bhali main
are ha phir se kah de koi
mujhe marna hai yar ki gali mein
lal chunari kisi ne udaai nahi
mujhko ghunghru mile chudiyo ki jage
lal chunari kisi ne udaai nahi
mujhko ghunghru mile chudiyo ki jage
main thirkati hun sikko ki jhankaar par
mere jine ki duniyan mein kya hai vajah haye
ye jwani o ye jwani lutane chali main
ye jwani lutane chali main
aur bujdil se kah de koi
mujhe marna hai yar ki gali mein
main shma hun nahi hun chirage karam
teri mahfil mein aane se jal jaaungi
main shma hun nahi hun chirage karam
teri mahfil mein aane se jal jaaungi
janti hun shma ko bujha dega tu
jab jwani ke pahulu mein thal jaungi
pyasi aai o pyasi aai thi pyasi chali main
pyasi aai thi pyasi chali main
are sangdil se kah de koi
mujhe marna hai yar ki gali mein
mujhe marna hai yar ki gali mein
aaj katil se kah de koi
mujhe marna hai yar ki gali mein
mujhe marna hai yar ki gali mein
deen baksh arey dayaram
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Atmaram/Are-Din-Bakhsa-Are-Da
arey yaar mere ki mast haveli aur raasta itna tang
lekin manjil tak jane ka arey koi to hoga dhang
arey aage bado aage bado aage bado bado
deen baksh arey dayaram deen baksh arey dayaram
koi jatan karo jo raste me aaye usko khatam karo
deen baksh arey dayaram koi jatan karo
jo raste me aaye usko khatam karo
yaar ka ghar hai bhulbaliya kon se kone me hai saiya
ghunghru ki jhankar pukare jhat se bahar aaja pyare
armano ki uthi kamane jayegi kitno ki jane
deen baksh arey dayaram deen baksh arey dayaram
koi jatan karo jo raste me aaye usko khatam karo
deen baksh arey dayaram koi jatan karo
jo raste me aaye usko khatam karo
mat bolo isko sardar iske piche hai sarkar
sarkari mahman banane badi haveli tak pahuchane
budhe ke ghar tak aa pahuche hai aaj khudai kismatgaar
deen baksh arey dayaram deen baksh arey dayaram
koi jatan karo jo raste me aaye usko khatam karo
deen baksh arey dayaram koi jatan karo
jo raste me aaye usko khatam karo
shera tere mahal ki shan hone wale hai viran
ishwar ka elaan yahi hai allah ka farman yahi hai
mit jayegi mit jayegi pap ki nagri aane wala hai tufan
deen baksh arey dayaram deen baksh arey dayaram
koi jatan karo jo raste me aaye usko khatam karo
deen baksh arey dayaram koi jatan karo
jo raste me aaye usko khatam karo
bhul gaya yaaro ka yaar kaal kothdi ka takrar
arey yad sabhi kuch aa jayega yaro ki jab padegi mar
aise kaise manega ye ye to hai dando ka yaar
deen baksh arey dayaram deen baksh arey dayaram
koi jatan karo jo raste me aaye usko khatam karo
deen baksh arey dayaram koi jatan karo
jo raste me aaye usko khatam karo
apni aatma se puchho
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Atmaram/Apni-Atma-Se-Poochho/
ek tha kaanha ek thi radha
aaj o geet sunao na
un dono ki prem kahani
ham nache tum gao na
pandit gyani aur pujari
kya sadhu kya sanyasi
sab kahte hai jhuth hame tum
sachchi baat batao na
kya sach hain kya jhuth hain
are kya sach hain kya jhuth hain, ye hamse na puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
kya sach hain kya jhuth hain, ye hamse na puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain, ye hamse na puchho
tan se lagta kunwar kanhaiya
man se lagta jogi hain
koi kahe bahrupiya usko
koi kahe wo dhongi hain
jaisi jiski najar hain, vaisa dikhta bala jogi hain
na bahrupiya na wo dhongi
wo to prem ka rogi hain
aaye hay prem rog kisko kahte hain
itna to bolo, bolo itana to bolo
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain
kaun use baandhe hain jispe
chalta nahi hain kisi ka rob
in hatho me dor hain uski
jiske hath me sabki dor
jo sabko bandhe hain us par
chalta sirf dilo ka jor
ek taraf rakhi ka bandhan
ek taraf mamta ki dor
ek tisra karm ka bandhan, uski baat kaho
ho uski baat kaho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain
puchh liya hain apne dil se
dil me aakar chor chhupa
bhed hamara jaan liya par
apna dil na khol saka
uske dil me sabki mohabbat
dil na kisi ka tod saka
bolna chaha tha sach sach par
pyar kiye na bol saka
dil to ho jhutha hain sari, duniya se kah do
kah do duniya se kah do
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain
wo sabka rakhwala hain fir
chor use kyun kahte hain
badnami bhi karte hain
aur uske bina na rahte hain
usne churaya hain dil sabka
log to sach hi kahte hain
jaha pe apna dil rahta ho
vahi to ham sab rahte hain
kaha pe uska dil laga
aur kiske chor hain wo bolo
kiske chor hain wo
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain
chalte chalte in raho par aisa bhi kuch ho jata hai
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Atmaram/Chalte-Chalte-In-Raho
chalte chalte in raho par aisa bhi kuch ho jata hai
koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai
chalte chalte in raho par aisa bhi kuch ho jata hai
koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai
koi khushi alag se jab ho saki na hasil
kisi aur ki khushi me hum ho gaye hai shamil
koi khushi alag se jab ho saki na hasil
kisi aur ki khushi me hum ho gaye hai shamil
aise bhi hans lete hai hum aise me bhi dil gaata hai
koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai
ye jindagi bhi kaisi phulo ka silsila hai
majburiyo se haara har ek hausla hai
ye jindagi bhi kaisi phulo ka silsila hai
majburiyo se haara har ek hausla hai
koi dukh me jee leta hai koi sukh me mar jata hai
koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai
kismat ne jo likha tha paya hai jindagi me
kyo dhundhne ko jaaye hum dosh aadmi me
kismat ne jo likha tha paya hai jindagi me
kyo dhundhne ko jaaye hum dosh aadmi me
kya socha karta hai insan aur jane kya ho jata hai
koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai
chalte chalte in raho par aisa bhi kuch ho jata hai
koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai
kya socha karta hai insan aur jane kya ho jata hai
koi anchaha mil jata hai aur man chaha kho jata hai
tumhare bin gujaare hai kai din
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Atmaram/Tumhare-Bin-Guzare-Ha
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
khabar kya thi ki apne bhi
sitare aise bigadenge
khabar kya thi ki apne bhi
sitare aise bigadenge
ki jo puja ke kabil hai
wahi log rang badalenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
tumhari ek na manenge, karenge aaj man mani
bahut tarsaya hai tumne, nahi ab aur tarsenge
sataya to nahi karte, kabhi kismat ke maro ko
kisi ki jaan jayegi, kisi ke arman nikalenge
tumhare bin gujare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
tumhare bin gujare hai kai din
ab na gujarenge
manaya tumko kitni baar, lekin tum nahi mane
to ab majbur hokar hum, shararat per bhi utrenge
hakikat kya hai, ye pahle bata dete to acha tha
khud apne jaal se hi hum
na jaane kaise hum nikalenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
kayi din baad fir ye saaj, ye singaar paya hai
nahi malum tha ki aap yu, inkar kar denge
tumhe kaise bataye, kya humare sath gujari hai
tumhare khwab tutenge, agar sach baat kah de
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge