People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

tumhare bin gujaare hai kai din
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Atmaram/Tumhare-Bin-Guzare-Ha
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge

khabar kya thi ki apne bhi
sitare aise bigadenge
khabar kya thi ki apne bhi
sitare aise bigadenge
ki jo puja ke kabil hai
wahi log rang badalenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge

tumhari ek na manenge, karenge aaj man mani
bahut tarsaya hai tumne, nahi ab aur tarsenge
sataya to nahi karte, kabhi kismat ke maro ko
kisi ki jaan jayegi, kisi ke arman nikalenge
tumhare bin gujare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
tumhare bin gujare hai kai din
ab na gujarenge

manaya tumko kitni baar, lekin tum nahi mane
to ab majbur hokar hum, shararat per bhi utrenge
hakikat kya hai, ye pahle bata dete to acha tha
khud apne jaal se hi hum
na jaane kaise hum nikalenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge

kayi din baad fir ye saaj, ye singaar paya hai
nahi malum tha ki aap yu, inkar kar denge
tumhe kaise bataye, kya humare sath gujari hai
tumhare khwab tutenge, agar sach baat kah de
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge