People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 4 *

tum aur main aur yeh bekhudi
Singer: Asha Bhosle
Music: Bappi Lahiri
Lyricist: Farooq Qaiser
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aitbaar/Tum-Aur-Main/Ch5fdCxD
tum aur main aur yeh bekhudi
tum aur main aur yeh bekhudi
nashili raat hai tumhaara saath hai
kya baat hai, baat hai
tum aur main aur yeh bekhudi

mehaki huyi tanhaayiya
behaki huyi angadaayiya
mehaki huyi tanhaayiya
behaki huyi angadaayiya
mujhe thaam lo, mujhe thaam lo
mujhe thaam lo jaaneja jaaneja
tum aur main aur yeh bekhudi

jaadu bhi hun tona bhi hun
chaandi bhi hun sona bhi hun
jaadu bhi hun tona bhi hun
chaandi bhi hun sona bhi hun
mujhe loot lo, mujhe loot lo
mujhe loot lo jaaneja jaaneja
tum aur main aur yeh bekhudi

gora badan khushbu bhara
kehata hai kya sun lo jara
gora badan khushbu bhara
kehata hai kya sun lo jara
mujhe pyaar do, mujhe pyaar do
mujhe pyaar do jaaneja jaaneja
tum aur main aur yeh bekhudi
nashili raat hai, tumhaara saath hai
kya baat hai, kya baat hai
tum aur main aur yeh bekhudi
aa aa aa aa aa aa
khali peeli pyar
Singer: Ila Arun
Music: Bappi Lahiri
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aitbaar/Khali-Peeli-Pyar-Se/Q
khali pili khali pili pyar se mera hoga nahi bhala
re thanedar chaddar nayi bicha
re thanedar chaddar nayi bicha
re mai bhi soungi re mai bhi soungi tu bhi soyenga
pankha hilayegi teri ma re thanedar chaddar nayi bicha

re thanedar ghar me kuwa khuda
re thanedar ghar me kuwa khuda
are mai bhi na aaungi are mai bhi na aaungi
tu bhi na aayga pani bharegi teri ma
re thanedar ghar me kuwa khuda
re thanedar ghar me kuwa khuda
khali pili pyar se mera hoga nahi bhala
re thanedar ghar me kuwa khuda
thanedar ghar me kuwa khuda

re thanedar dholak mujhe dila
re thanedar dholak mujhe dila
re mai bhi bajaungi re mai bhi bajaungi tu bhi bajayega
halla sunegi teri ma re thanedar dholak mujhe dila
re thanedar dholak mujhe dila
khali pili pyar se mera hoga nahi bhala
re thanedar dholak mujhe dila
re thanedar dholak mujhe dila

re thanedar lade mainu ghoda
re thanedar lade mainu ghoda
re mai wi chadangi re mai wi chadangi tu bhi chadega
paidal chalegi teri ma re thanedar lade mainu ghoda
re thanedar lade mainu ghoda
khali pili pyar se mera hoga nahi bhala
re thanedar layade mainu ghoda
re thanedar layade mainu ghoda

re thanedar lade mujhe ganna
re thanedar lade mujhe ganna
re mai bhi chusungi re mai bhi chusungi tu bhi chusega
chilke chusegi teri ma re thanedar lade mujhe ganna
re thanedar lade mujhe ganna khali pili
pyar se mera hoga nahi bhala
re thanedar lade mujhe ganna re thanedar lade mujhe ganna
avaaz di hai aaj ek nazar
Music: Bappi Lahiri
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aitbaar/Awaaz-Di-Hai/SCsoYxpU
avaz di hai aaj ik nazar ne ya hai ye dil ko guman
dohara rahi hai jaise fazaye bhuli hui dastan
avaz di hai aaj ek nazar ne ya hai ye dil ko guman
dohara rahi hai jaise fazaye bhuli hui dasta

lout aai hai fir ruthi bhare kitna hasi hai sama
duniya se kah do na hamko pukare hum kho gaye hai yaha
lout aai hai fir ruthi bhare kitna hasi hai sama
duniya se kah do na hamko pukare hum kho gaye hai yaha

jivan me kitni viraniyan thi chhayi thi kaisi udasi
sunakar kisi ke kadmo ki ahat halchal hui hai zara si
jivan me kitni viraniyan thi chhayi thi kaisi udasi
sunakar kisi ke kadmo ki ahat halchal hui hai zara si
sagar me jaise lahare uthi hai tuti hai khamoshiya
dohara rahi hai jaise fazaye bhuli hui dastan

tufan me khoyi kashti ko akhir mil hi gaya phir kinara
ham chhod aye khwabo ki duniya dil ne tere jab pukara
tufan me khoyi kashti ko akhir mil hi gaya phir kinara
ham chhod aye khwabo ki duniya dil ne tere jab pukara
kabase khadi thi bahe pasare is dil ki tanhaiya
duniya se kah do na ham ko pukare ham kho gaye hai yaha

ab yad aya kitna adhura ab tak tha dil ka fasana
yu pass ake dil me samake daman na hamse chhudana
ab yad aya kitna adhura ab tak tha dil ka fasana
yu pas ake dil me samake daman na hamse chhudana

jin rasto par tere kadam ho maajil hai meri vaha
duniya se kah do na ham ko pukare ham kho gaye hai yaha
kisi najar ko tera
Music: Bappi Lahiri
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aitbaar/Kisi-Nazar-Ko-Tera-In
kisi najar ko tera, intajar aaj bhi hain
kisi najar ko tera, intajar aaj bhi hain
kaha ho tum ke ye dil bekarar aaj bhi hain
kisi najar ko tera, intajar aaj bhi hain

wo wadiya, wo fijaye ke hum mile the jahan
wo wadiya, wo fijaye ke hum mile the jahan
meri wafa ka wahi par majar aaj bhi hain
kisi najar ko tera, intajar aaj bhi hain

na jane dekh ke kyu unko ye hua ehasas
na jane dekh ke kyu unko ye hua ehasas
ke mere dil pe unhe ikhtiyar aaj bhi hain
kisi najar ko tera, intajar aaj bhi hain

wo pyar jiske liye humne chhod di duniya
wo pyar jiske liye humne chhod di duniya
wafa ki rah me ghayal wo pyar aaj bhi hain
wo pyar jiske liye humne chhod di duniya

yakin nahi hain magar aaj bhi ye lagta hain
yakin nahi hain magar aaj bhi ye lagta hain
meri talash me shayad bahar aaj bhi hain
kisi najar ko tera, intajar aaj bhi hain

na puchh kitne mohabbat ke jakhm khaye hain
na puchh kitne mohabbat ke jakhm khaye hain
ke jinko sochke dil so gaya aur aaj bhi hain
wo pyar jiske liye humne chhod di duniya
wafa ki rah me ghayal wo pyar aaj bhi hain
kisi najar ko tera, intajar aaj bhi hain
kaha ho tum ke ye dil bekarar aaj bhi hain
kisi najar ko tera, intajar aaj bhi hain

zindagi kya koi nisar kare
kise duniya me koi pyar kare
apna saaya bhi apna dushman hai
kaun ab kiska aitbar kare, aitbar kare