People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 10 *

khelo rang hamare sang aaj
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Khelo-Rang-Humare-Sang-Aa
khelo rang hamare sang aaj
din rang rangila aaya, ho din rang rangila aaya
khelo rang hamare sang aaj
din rang rangila aaya, ho din rang rangila aaya
din rang rangila aaya, din rang rangila aaya
din rang rangila aaya, din rang rangila aaya

nazar nazar mein rim jhim
rim jhim, rim jhim, rim jhim
rang anokha barase, rang anokha barase
kaise main khelu khak main khelu khak
kaise main khelu khak
kaise main khelu khak, mera dil piya milan ko tarse

dekh meri chunari sakhi dhani hain, kho na kahi dena
yeh pyar ki nishani hain, dekh meri chunari sakhi dhani hain
kho na kahi dena, yeh pyar ki nishani hain
main hoon tere sang balam, too hain mere sang
main hoon tere sang balam, too hain mere sang
hoy rang dalo, rang dalo rang, khelo rang hamare sang aaj
din rang rangila aaya, ho din rang rangila aaya

aao aao sajan hamare dwar, rang dalungi tum par hazar
ho rang dalungi tumpar hazar, aao aao sajan hamare dwar
aaj koyi raja na aj koyi rani hain
pyar bhare jivan ki ek hi kahani hain
aj koyi raja na aj koyi rani hain
pyar bhare jivan ki ek hi kahani hain
ayi khushi sath liye dil ke naye dhang
ayi khushi sath liye dil ke naye dhang
hoy rang dalo rang dalo rang
sitamgar dil me tere
Singer: Mohammad Rafi
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Mohabbat-Choome-Jinke-Haa
sitamgar dil me tere aag ulafat ki lagaa dungaa
qasam teri tujhe mai pyaar karanaa bhi sikhaa dungaa

teraa husn maanaa badi chiz hai
meraa dil bhi aakhir koi chiz hai
teraa husn maanaa badi chiz hai
meraa dil bhi aakhir koi chiz hai

zamaane me hai tujhase laakho hasi
na hogaa magar koi mujhasaa kahi
muhabbat agar tere dil me nahi
tere dil me nahi
to kar le mohabbat bhali chiz hai
meraa dil bhi aakhir koi chiz hai
teraa husn maanaa badi chiz hai
meraa dil bhi aakhir koi chiz hai

na ho husn par itanaa magarur tu
karegaa tu ik din meri aarazu
basaa dungaa mai dil me ulafat ki dhun
dil me ulfat ki dhun
tere lab pe jaadu bhari chiz hai
meraa dil bhi aakhir koi chiz hai
teraa husn maanaa badi chiz hai
meraa dil bhi aakhir koi chiz hai

tu jab git sun kar tadapane lage
kisi ke liye dil dhadakane lage
koi jab tere dil me basane lage, dil me basane lage
samajhanaa mohabbat wohi chiz hai
meraa dil bhi aakhir koi chiz hai
aag lagi tan-man me
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Aag-Lagi-Tanman-Mein/Qh4K
aag lagi tan-man me dil ko pada thaamna
raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna
aag lagi tan-man me dil ko pada thaamna
raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna, ho

sooni hai aaj piya mori atariya
piya mori atariya, zara deejo khabariya
dil tadpe jaise bina jal ki machhariya
zara leejo khabariya
sooni hai aaj piya mori atariya
piya mori atariya
dil tadape jaise bina jal ki machhariya
zara leejo khabariya
aan pade mushqil to aaye koi kaam na
raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna, hu

saajan ki yaad mujhe pal pal sataaye
mujhe pal pal sataaye, dekho naina bhar aaye
tan ka singaar mere man ko na bhaaye
dekho naina bhar aaye
saajan ki yaad mujhe pal pal sataaye
mujhe pal pal sataaye
tan ka singaar mere man ko na bhaaye
dekho naina bhar aaye
pyaar mera ho jaaye kahi badnaam na
raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna, haay

laagi na chhoote karu koi bahaana
karu koi bahaana, aaya naazuq zamaana
dil mera bana piya tera nishaana
aaya naazuq zamaana
laagi na chhute karu koi bahaana
karu koi bahaana
dil mera bana piya tera nishaana
aaya naazuq zamaana
hoye bura ulfat ka dekho anjaam na
raam jaane kab hoga sainya ji ka saamana
main rani hu raja ki
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Main-Rani-Hoon-Raja-Ki/MS
aayi ho kheto ki rani aayi ho
main rani hu raja ki raja mera piya
kisiko kya ho kisiko kya
main rani hu raja ki raja mera piya
kisiko kya ho kisiko kya

pritnagar pe raaj karu main banke sajanva teri
pritnagar pe raaj karu main banke sajanva teri
banke sajanva teri
mehale to mehale dhanwano ke dil ki nagariya meri
mehale to mehale dhanwano ke dil ki nagariya meri
o dil ki nagariya meri
chaha tha jisko maine dil usko de diya
kisiko kya ho kisiko kya

chhod ke apne pi ki dagariya aur kahi naa jaau
chhod ke apne pi ki dagariya aur kahi naa jaau
aur kahi naa jaau
jeet liya hai tanmann jisne geet usike gaau
jeet liya hai tanmann jisne geet usike gaau
geet usike gaau
pi pi ke dhun par har dum naache mera jiya
kisiko kya ho kisiko kya
main rani hu raja ki raja mera piya
kisiko kya ho kisiko kya
gaao taraane man ke ji
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Gao-Tarane-Man-Ke-Ji/Clw0
hoy he hoy gaao taraane man ke ji
aashaa aai dulhan ban ke ji
naacho naacho man ki taal pe
chham-chham chham-chham chham-chham
hoy aaj khushi ban-than ke ji
kar ghar aai hai dulhan ke ji
naacho naacho man ki taal pe
chham-chham chham-chham chham-chham

dhak-dhak man me dholak baaje
chham-chham pag me paayal
ho chham-chham pag me paayal aa aa
hoy dhak-dhak man me dholak baaje
chham-chham pag me paayal
baalam ki nazro ne
baalam ki nazro ne kiya hai aaj mera dil ghayal aa
hoy baalam ki nazro ne kiya hai aaj mera dil ghayal
bhed mai apne kholu na, kuchh bolu na, sag dolu na
tir chale chitawan ke ji
rimajhim aaye din saawan ke ji
naacho naacho man ki taal pe
chham-chham aaha chham-chham waah chham-chham

apne piya ki jogan ban jaa
chhod de mahal-dumahale
ho chhod de mahal-dumahale o
hoy apne piya ki jogan ban jaa
chhod de mahal-dumahale
phul wahi sachha hai
phul wahi sachha hai jo kanto ke dukh bhi sah le ho
hoy phul wahi sachha hai jo kanto ke dukh bhi sah le
pyaar ko jab tum jaanoge, pahachaanoge, phir maanoge
rup naye jiwan ke ji, milte hai dware sajan ke ji
naacho naacho man ki taal pe

hoy gaao taraane man ke ji
aasha aayi dulhan ban ke ji
naacho naacho man ki taal pe
chham-chham chham-chham chham-chham
hoy aaj khushi ban-than ke ji
kar ghar aai hai dulhan ke ji
naacho naacho man ki taal pe
chham-chham chham-chham chham-chham
aa aa aa
aaj mere man me
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Aaj-Mere-Man-Mein-Sakhi/H
aaj mere man me sakhi baansuri bajaaye koi
aaj mere man me
aaj mere man me sakhi baansuri bajaaye koi
pyaar bhare git sakhi baar-baar gaaye koi
baansuri bajaaye, baansuri bajaaye sakhi gaaye sakhi re
koi chhailva ho, koi albelva ho, koi chhailva ho

rang meri jawani ka liye jhumta ghar aaya hai saavan
rang meri jawani ka liye jhumta ghar aaya hai saavan
ho sakhi, ho re sakhi, aaya hai saavan
mere naino me hai saajan

in undi ghataao me, havaao me sakhi, naache mera man
ho sakhi, naache mera man
ho aangan me saavan man-bhaavan ho ji
ho in undi ghataao me, havaao me sakhi, naache mera man
ho sakhi, naache mera man
dil ke hidole pe mohe jhule na jhulaaye koi
pyaar bhare git sakhi, baar-baar gaaye koi
baansuri bajaaye, baansuri bajaaye sakhi gaaye sakhi re
koi chhailva ho, koi albelva ho, koi chhailva ho

kahta hai ishaaro me koi, aa mohe ambuaa ke tale mil
bhala vo kaun hai ghaayal
kahta hai ishaaro me koi, aa mohe ambuaa ke tale mil
bhala vo kaun hai ghaayal
mai naam na lu aaj lage laaj sakhi
dhadke mera dil ho sakhi dhadke mera dil
ho aangan me saavan man-bhaavan ho ji
ho, mai naam na lu aaj lage laaj sakhi
dhadke mera dil ho sakhi dhadke mera dil
taar pe jivan ke madhur raagini sunaaye koi
pyaar bhare git sakhi baar-baar gaaye koi
baansuri bajaaye, baansuri bajaaye sakhi gaaye sakhi re
koi chhailva ho, koi albelva ho, koi chhailva ho
tujhe kho diya
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Tujhe-Kho-Diya-Hamne-Pane
tujhe kho diya hamne paane ke baad ho
tujhe kho diya hamne paane ke baad
teri yaad aayi, teri yaad aayi
tere jaane ke baad teri yaad aayi
tujhe kho diya hamne

mila tha jab tak judaayi ka ghum
mohabbat ka matlab na samjhe the hum
tadapne lage tir khane ke baad, tadapne lage
tadapne lage tir khane ke baad
teri yaad aayi, teri yaad aayi
tere jaane ke baad teri yaad aayi
tujhe kho diya hamne

nigaaho me abb tu samaane laga
tera naam hotho pe aane laga
huye hum tere ek zamaane ke baad
huye hum tere
huye hum tere ek zamane ke baad
teri yaad aayi, teri yaad aayi
tere jaane ke baad teri yaad aayi
tujhe kho diya hamne

mohabbat mili aur tu kho gaya, tu kho gaya
oh badlate hi kismat, yeh kya ho gaya, kya ho gaya
khushi chhin gayi dil lagaane ke baad
khushi chhin gayi
khushi chhin gayi dil lagaane ke baad
teri yaad aayi, teri yaad aayi
tere jaane ke baad teri yaad aayi
takra gaya tumse
Singer: Mohammad Rafi
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Takra-Gaya-Tumse/Pi0DdjcC
dil ko hua tumse pyaar, ab hai tumhe ikhtiyaar
chaahe bana do, chaahe mita do
takra gaya tumse dil hi to hai
roye na ye kyo ghayal hi to hai
takra gaya tumse dil hi to hai
roye na ye kyo ghayal hi to hai, ghayal hi to hai

vo pyaar se nafrat karte hai
ham hai ke unhi pe marte hai
vo pyaar se nafrat karte hai
ham hai ke unhi pe marte hai
ab kaise nibhe mushkil hi to hai
ab kaise nibhe mushkil hi to hai
takra gaya tumse dil hi to hai
roye na ye kyo ghayal hi to hai, ghayal hi to hai

bedard ko ai dil yaad na kar
tadpe jaa yu hi, fariyaad na kar
bedard ko ai dil yaad na kar
tadpe jaa yu hi, fariyaad na kar
kyo raham kare, qaatil hi to hai
kyo raham kare, qaatil hi to hai
takra gaya tumse dil hi to hai
roye na ye kyo ghayal hi to hai, ghayal hi to hai
dil mein chupake
Singer: Mohammad Rafi
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Dil-Mein-Chhupa-Ke-Pyar-K
dil mein chupake pyar ka toofan le chale
hum aaj appni mauth ka saman le chale
mauth ka saman le chale dil mein
chupake pyar ka toofan le chale

ha ha ha aaa
mit ta hein kaun dekhiye ul fat ki ra hamein
ulfat ki ra hamein
mit ta heil kaun dekhiye ulfat ki ra hamein
woh le chale hein aan to ham jaan le chale
maut ka saman le chale
dil mein

ha ha ha aaa
manzil pe hoga fasla kismat ke khel ka
kismat ke khel ka
manzil pe hoga fasla kismat ke khel ka
kare jo dil ka khoon ho
meheman le chale
maut ka saman le chale
dil mein
maan meraa ahasaan
Singer: Mohammad Rafi
Music: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Album: Aan(1952)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aan/Maan-Mera-Ehsan-Are-Nadaa
maan meraa ahasaan are naadaan ke maine
tujhase kiyaa hai pyaar
maine tujhase kiyaa hai pyaar

meri nazar ki dhup na bharati rup to hotaa
husn teraa bekaar
maine tujhase kiyaa hai pyaar
maan meraa

ulafat na sahi nafarat hi sahi
is ko bhi muhabbat kahate hai
tu laakh chhupaae bhed magar ham
dil me samaae rahate hai
tere bhi dil me aag uthi hai jaag zabaa se
chaahe na kar iqaraar
maine tujhase kiyaa hai pyaar
meri nazar ki

apanaa na banaa lun tujhako agar
ik roz to meraa naam nahi
patthar kaa jigar paani kar dun ye
to koi mushkil kaam nahi
chhod de ab ye khel tu kar le mel mere sag
maan le apani haar
maine tujhase kiyaa hai pyaar
maan meraa