People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Yaha Badala Wafa
Music: Firoz Nizami
Lyricist: Tanvir Naqvi
Album: Jugnu(1947)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Jugnu/Yahan-Badla-Wafa-Ka/CV1fcj5aZX4
Video:
yaha badla wafa ka bewfaayi ke siva kya hai
mohabbat karke bhi dekha, mohabbat me bhi dhoka hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kya tha, abhi kya hai
yu hi duniya badalti hai, isi ka naam duniya hai

tadapne bhi nahi deti, hame majburiya apni

mohabbat karne vaalo ka tadapna kisne dekha hai
mohabbat karke bhi dekha, mohabbat me bhi dhoka hai

bade arman se vaado ne dil me ghar basaya tha

vo din jab yaad aate hai chale jaane ko aata hai
yaha badla wafa ka bewfaayi ke siva kya hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kya tha, abhi kya hai
mohabbat karke bhi dekha, mohabbat me bhi dhoka hai
yu hi duniya badalti hai, isi ka naam duniya hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kya tha, abhi kya hai
mohabbat karke bhi dekha, mohabbat me bhi dhoka hai

bhula do vo zamana jab mujhe apna banaaya tha
bhula do munh me ulfat jab tumhare lab pe aaya tha
bhula do vo kasam
bhula do vo kasam jo dilaayi thi kabhi tumne
bhula do vo kasam jo ki khaai thi kabhi tumne
bhula do dil se tum guzare huye rangin zamane ko
bhula do, haan bhula do ishq ke saza fasaane ko
tamannaao ki basti me, adhera hi adhera hai
kise apna kahu koi jo apna tha paraaya hai

yaha badla