ae dil dil ki duniya me aisa haal bhi hota hai
bahar koi hasta hai, andar koi rota hai

ae dil koi pehchana nahi, kisi ne ye mana nahi
kisi ne ye jana nahi, kisi ko batana nahi
dard chhupa hai kaha

tune mujhse vafa nahi ki, tujhko kaise vafa milegi
tune mujhko dard diya hai, tujhko kaise dava milegi
sine me uthte hai armaan aise, dariya me aate hai tufaan jaise
kabhi kabhi khud hi maajhi kashti ko dubota hai
ae dil dil ki duniya me aisa haal bhi hota hai
bahar koi hasta hai, andar koi rota hai
kaante chhukar tera daaman phulo se mai bhar jaaunga
isse badi saja kya hogi, maaf tujhe mai kar jaaunga
hogi kisi ko pehchaan kaise, pyaar me hote hai kurbaan kaise
humko ye maalum naa tha, pyar bhi ek samjhauta hai
ae dil dil ki duniya me, aisa hal bhi hota hai
bahar koi hansta hai, andar koi rota hai