saikdo kishor yahan arey saikdo lata
bin sune chalega tumhe kis tarah bata
dil na badhao na sahi dil to na todo
beksur pe julm ke yun teer na chodo
na rup dekhiye na nam dekhiye jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
na rup dekhiye na nam dekhiye jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
ye purane log ye purane raste
ye purane log ye purane raste maut hai purana pan kala ke waste
mauka naye khoon ko diya hi na jayega
mauka naye khoon ko diya hi na jayega
kala me fir nayapan kahan se aa payega
jo aaj hai mashoor, jo aaj hai mashoor kal wo bhi the naye
aage kisi ne unko bhadaya to badh gaye
aage kisi ne unko bhadaya to badh gaye
na roop dekhiye na nam dekhiye jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
kitne hi tansen gumnam reh gaye
kitne hi tansen gumnam reh gaye ek mauka na mila to nakam rah gaye
tulsidas kayi hain, kayi taigore bhi yahan
tulsidas kayi hain, kayi taigore bhi yahan
ek hi aap na samjhe hai galib or bhi yahan
hai lakho kalakar, hai lakho kalakar parki ki kami hai
hire to hain hazar jhohri ki kami hai
hire to hain hazar jhohri ki kami hai
na roop dekhiye na nam dekhiye jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
na roop dekhiye na nam dekhiye jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
jo dekhiye to admi ka kam dekhiye
apnake mujhe aapne mujhe yun zindagi de di
khoya tha andhero me mujhe roshni de di
yun deke pyar aapne mera dil bada diya
chote se ik chirag ko suraj bana diya
hum jaise or bhi naye aayenge kalakar
ummid hai un sabko aap denge yun hi pyar
ummid hai un sabko aap denge yun hi pyar