hum ramchandra ki chandra kal me bhi kalank dikhlate hai
nari ke aasuo se likhi ramayan tumhe sunate hai
in taro se angaro ki jhankar nayi sunwate hai
ye shlok nahi hai atyacharo ke agni preet hum gate hai
bharat ki sitao ke dukhde jab tak honge chur nahi
he ram he ram tumhari ramayan tab tak hogi sampuran nahi
sampuran nahi bharat ki sitao ke dukhde
jab purush parikshaye lega nari me dosh nikalega
sati par vishwas nahi karte pati unhe agni me dalega
nari par lanchan ki jwala ki lapte hongi puran nahi
he ram he ram tumhari ramayan tab tak hogi sampuran nahi
sampuran nahi bharat ki sitao ke dukhde
jab ram raj ke nirmata dhobi ki bat me aayenge
jab ram raj ke nirmata dhobi ki bat me aayenge
bharat bhavishya ki mata ko dhokhe se ban me thukrayenge
kavi valmiki tab likhne valmiki
kavi ke likhne ka paripurna nahi hai
he ram he ram tumhari ramayan tab tak hogi sampuran nahi
sampuran nahi bharat ki sitao ke
dukhde jab tak honge chur nahi
he ram he ram tumhari ramayan tab tak hogi sampuran nahi
sampuran nahi bharat ki sitao ke dukhde
purusho ki niti aniti bani chalti hai
nari ke pawan jiwan ko chalti hai
shoshan ki sabhayta ki sandha dhalti hai
jab swayam jwala me jagdambe jalti hai
jwala me jagdambe jalti hai jagdambe jalti hai