do ghadi sath tere dil mera abad raha
aur fir ek yad kuch na mujhe yad raha
ye dard mohabbat ka dam bhar na sambhalne de
karwat na badalne de ye dard mohabbat ka
dekha ke lagi dil ki bujhti nahi rone se
fir ponch liye aansu jalti hai to jalne se
dam bhar na sambhalne de karwat na badalne de
ye dard mohabbat ka
rah rah ke machalte hai arman mere dil ke
kahti hai majburi mat niyat machalne de
dam bhar na sambhalne de karwat na badalne de
ye dard mohabbat ka
jab ruth gaye humse din rat mohabbat ke
fir peed judai ki chalti hai to chalne de
dam bhar na sambhalne de karwat na badalne de
ye dard mohabbat ka