jindagi ke faisle me hamne ye bhi to na socha
khubsurat khwab se badke koi hota hai na dhokha
khushiyo ke mausam ho ya ho gam ke saye
jina hi padta hai agar dil tut bhi jaye
jindagi ke faisle me hamne ye bhi to na socha
khubsurat khwab se badke koi hota hai na dhokha
dil ki tamnna rah gayi dil me
har lamha hai ab muskil me
le gayi mauje sab kuch apna kya rakha hai ab sahil me
chahat me jab koi mil ke na mil paye
sagar ke hote bhi dil pyasa rah jaye
jindagi ke faisle me hamne ye bhi to na socha
khubsurat khwab se badke koi hota hai na dhokha
jo milna hai mil ke rahega, jo khona hai kho ke rahega
kitni bhi karle koshish koi, jo hona hai hoke rahega
wakt kabhi darde dil deke kyu tadpaye
or kabhi jakhmo ka khud marham ban jaye