ye kaun aaya, roshan ho gai mahfil kiske naam se
ye kaun aaya

mere ghar me jaise suraj nikla hai shaam se
ye kaun aaya
yaade hai kuchh aai si, yaa kirane laharaai si
yaa kirane laharaai si
dil me soye gito ne li hai phir agadaai si
armaano ki madiraa chhalke ankhiyo ke jaam se
ye kaun aaya, roshan ho gai mahfil kiske naam se
mere ghar me jaise suraj nikla hai shaam se
ye kaun aaya
aahat pe halki halki, chhati dhadke payal ki

har gori se naam uska, lahre puchhe aanchal ki
chhupke chhupke radha koi puchhe apne shyam se
ye kaun aaya
kyaa kahiye is aane ko, aaya hai tarsane ko
aaya hai tarsane ko
dekha usne hans hans ke, har apne begane ko
lekin kitna beparvah hai, mere hi salaam se