le aayi hai bite hue lamho ko phir ha ye zindagi
yu beraham si ho gayi, lene chali jaan ye zindagi
khuda kyu ruth gaya mujhse, nahi tha bair mera tujhse
kyun tune chhin liya mujhse mera jahan
ae khuda khuda tu bata bata
ummid thi armaan the, khushiya bhi thi behisaab si
baaho me thi duniya meri, thi zindagi jaise khwaab si
har ik pal roshan roshan tha, mehakta dil ka aangan tha
tha jannat se badh ke pyaara mera jahaan
ae khuda khuda tu bata bata
ye kya kiya khuda haay ye kyun kiya khuda
bata mere khuda thi kya meri khata
bejaan si hai zindagi, har saans hai ghamzada
ye kya kiya khuda haay ye kyun kiya khuda
bata mere khuda thi kya meri khata
ummid hai tuti hui, tanhaiyo ka daur hai
hai khwahishe bikhri hui, khamoshiyo ka shor hai
bula le apne paas mujhe, na aaye jina raas mujhe
kyun tune chhin liya mujhse mera jahan
ae khuda khuda tu bata bata
ye kya kiya khuda haaye ye kyun kiya khuda
bata mere khuda thi kya meri khata
bejaan si hai zindagi, har saans hai ghamzada
ye kya kiya khuda haay ye kyun kiya khuda
bata mere khuda thi kya meri khata