People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Aansu Kabhi Chhalke
Singer: Jagjit Singh
Music: Sushil Lalji
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Riwayat/Aansu-Kabhi-Chalke/PhAmQx5RRn8
Video:
aansu kabhi chhalke nahi moti bikhar jayenge, o sathiya

tujhme har pal hai wo, fasala kab kaha fir hua

sach ki raho pe tu jo chalega ajmaish vo teri karega

jindagi ki kadi dhup me bhi ban ke saya vo sang sang chalega
roshni ye rahe samjho sara jahaa mil gaya
roshni ye rahe samjho sara jahaa mil gaya
aansu kabhi chhalke nahi moti bikhar jayenge, o sathiya

dur tujh se hua hai magar yaad ban ker vo tujhme rahega

dil se chaha hai tune use to sans ban kar vo tujhme rahega
aas baki hai samjho tumko khuda mila gaya
aas baki hai samjho tumko khuda mila gaya
aansu kabhi chhalke nahi moti bikhar jayenge, o sathiya

pak mariyam sa aanchal samandar jisme mojud hai tera sagar

man ki aankho se dekho to pass tere hai wo tera ishwar
khud ko dhundo jara dil udhasi si kyu hai bhara
khud ko dhundo jara dil udhasi si kyu hai bhara

aansu kabhi chhalke nahi moti bikhar jayenge, o sathiya
aansu kabhi chhalke nahi moti bikhar jayenge, o sathiya
tujhme har pal hai, fasala kab kaha fir hua