lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
zindagi shamma ki surat ho, khudaya meri
lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
door duniya ka mere dum se andhera ho jaaye
door duniya ka mere dum se andhera ho jaaye
har jagah mere chamakne se ujala ho jaaye
ho mere dum se yuhin mere watan ki zeenat
jis tara phool se hoti hai chaman ki zeenat
zindagi meri ho parwaane ki soorat ya rab
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab
ho mera kaam ghareebon ki himayat karna
dard mando se zaeefon se mohabbat karna
mere allah buraayi se bachaana mujhko
nek jo raah ho, us raah par chalanaa mujhko