tum jahaan ho vahaan, kyaa ye mausam nahi
kyaa nazaare vahaan muskuraate nahi
tum jahaan ho vahaan, kyaa ye mausam nahi
ye zamaanaa hameshaa kaa bedard hai
dard-e-dil pe, koi haath dhartaa nahi
dil ki fitrat kabhi ek rahti nahi
zindagi bhar vafaa, koi kartaa nahi
phir bhi jaise bhulaayaa hai tumne hame
phir bhi jaise bhulaayaa hai tumne hame
is tarah bhi kisi ko bhulaate nahi
tum jahaan ho vahaan, kyaa ye mausam nahi
kyaa nazaare vahaan muskuraate nahi
dard hai mere dil kaa mere geet me
geet gata hun mai tum mujhe saaz do
raat khaamosh hai aur tanhaa hai dil
tum kahaan ho zaraa dil ko aavaaz do
jo guzaare the hamne, mohabbat me din
jo guzaare the hamne, mohabbat me din
kyaa vo din ab tumhe yaad aate nahi
tum jahaan ho vahaan, kyaa ye mausam nahi
kyaa nazaare vahaan muskuraate nahi
tum jahaan ho vahaan, kyaa ye mausam nahi