zehreeli tarannum ka hissa hai
ye shehar-e-jahannum ka Kissa hai
yaha bandUko ke paas bhasha hai
mohabbat ka khooni tamasha hai
iss bhasad me ek thi rani
barudon ka wo pi ke paani
pattharo ke paalne me paida hui wo nashtari
revolver rani ki thaayn thaayn thaayn
hai jungli jawaani ki thaayn thaayn thaayn
revolver rani ki thaayn thaayn thaayn
hai jungli jawaani ki thaayn thaayn thaayn
jisaki hatheli pe chhaala hai
to usne khudi ko sambhala hai
diwaani ki aankhe sindoori hai
magar ye kahani adhuri hai
khel hai ye dhadkano ka
kaun jane dhusmano ka
kis ilake kis tarha se
kaise kaha kab katal ho
sabhi bekhabar hai thaayn thaayn thaayn
unhe khabar bhejo thaayn thaayn thaayn
revolver rani ki thaayn thaayn thaayn
hai jungli jawaani ki thaayn thaayn thaayn