nahi hai koi bada husn se zamane me
hamara nam hai dunia ke har fasane me
ye kya kaha ke koi husn se bada hi nahi
tumhara hamse abhi wasta pada hi nahi
jao ji jao bade shangi dikhane wale
hamare husn ka charo taraf jala hai
jamane bhar me hasino ka bolbala hai
hamari jufle ghatao ko maat karti hai
ha ji maat karti hai
hamari aankhe sitaro se bat karti hai
ha ji bat karti hai
hamari mast nigaho ka bhi jawab nahi
sharab khane me aisi koi sharab nahi
jao ji jao badi shan ke dikhane wale
shan ke dikhane wale shan ke dikhane wale
bate banane wale haye dil ko jalane wale
jao ji jao bade shan ke dikhane wale
jamane wale jinhe ham se kam samajhte hai
tumhari sari hakikat ko hum samajhte hai
hamare pyar ne magrur kar diya hai tumhe
hamko aanhke dikhate ho tum kayamat hai
khud tumhi batao ke ye kon si sharafat hai
jao ji jao badi shan ke dikhane wale
shan ke dikhane wale shan ke dikhane wale
shan ke dikhane wale shan ke dikhane wale
bate banane wale haye dil ko jalane wale
jao ji jao badi shan ke dikhane wale
shan ke dikhane wale shan ke dikhane wale
hame sikhayi hai so bar maut kya kahna
hamare samne badh badh ke bat kya kahna
tumhare jaise hazaro najar se gujre hai
najar se gujre hai
dilo ko hum sambhale ghar se gujre hai
ghar se gujre hai
garur walo ka hamne garur toda hai
jo dil me soch liya wo karke choda hai
jao ji jao badi shan ke dikhane wale
shan ke dikhane wale shan ke dikhane wale
bate banane wale haye dil ko jalane wale
jao ji jao badi shan ke dikhane wale
shan ke dikhane wale shan ke dikhane wale
chada ke sar pe tumhe hum gira bhi sakte hai
banane wale bana kar mita bhi sakte hai
jo jidd pe aaye baharo ko gul fiza karde
jami ko pyar se dekhe to aasma karde
jami ko pyar se dekhe to aasma karde
magar banake mitana hamari shan nahi
are tumhari tarah se hum log beiman nahi
jao ji jao badi shan ke dikhane wale
shan ke dikhane wale shan ke dikhane wale
bate banane wale haye dil ko jalane wale
jao ji jao badi shan ke dikhane wale
jao ji jao badi shan ke dikhane wale