utar dakshin puraw paschim
utar dakshin puraw paschim
jidhar bhi dekhu mai andhkar andhkar
andhere me jo baithe hai, nazar un par bhi kuch dalo

are o roshani walo
bure itne nahi hai hum, zara dekho hame bhalo
are o roshani walo
kafan se dhap kar baithe hai ham sapno ki lasho ko
jo kismat ne dikhaye, dekhate hai un tamasho ko

hame nafrat se mat dekho, zara ham par raham kha lo
are o roshani walo
andhere me jo baithe hai, nazar un par bhi kuch dalo
are o roshani walo
hamare bhi the kuch sathi, hamare bhi the kuch sapne

sabhi wo raah me chute, wo sab ruthe jo the apne

jo rote hai kai din se, zara unko bhi samajha lo