hume kab khabar thi ki duniya hamari badal jayegi
hume kab khabar thi ki duniya hamari badal jayegi
ki apni hi aaho se aasha ki phulwari jal jayegi
hume kab khabar thi
nahi thi khabar mere man ka
madhurban ujad jayega
nahi thi khabar mere man ka
madhurban ujad jayega ha chaha jise dil se
chaha jise wo bichhad jayega
do din ko hanskar ke takdir apni machal jayegi
hume kab khabar thi
hai aaya nahi hai lotke bahte dhara ka pani kabhi
hai aaya nahi hai lotke bahte dhara ka pani kabhi
na sach ho sake do dilo ke milan ki kahani kabhi
na ja bahar ka wo din chala jayega
dhup dhal jayegi hume kab khabar thi ki
duniya hamari badal jayegi hume kab khabar thi