dil ko dekho, chehara na dekho, dil ko dekho, chehara na dekho
cheharo ne lakho ko luta
ha dil sacha aur chehara jhuta
dil sacha aur chehara jhuta
dil ko dekho, chehara na dekho, cheharo ne lakho ko luta
ha dil sacha aur chehara jhuta
dil sacha aur chehara jhuta
jo apani sachi surat dikha de, aise nahi duniyawale
sabne hi apne cheharo ke age jhut ke parde hain dale
mithi hontho pe bat, dil me rehati hai khat
dil ka hontho se nata hi jhuta
dil sacha aur chehara jhuta, dil sacha aur chehara jhuta
dil ko dekho, chehara na dekho
tann se toh ajad ham ho gaye hain, mann se gayi na gulami
pardesi bhasga aur vesh ko hi dete hain abb tak salami
bhul kar apna rang, sikhe auro ka dhang
apnepan ka chalam hamse chhuta
dil sacha aur chehara jhuta, dil sacha aur chehara jhuta
dil ko dekho, chehara na dekho
marji tumhari tum kuchh bhi samajho, jo ham hain woh ham hi jane
rang rup dekhe toh dekhe jamana, ham pyar ke hain divane
puje dhan ko sansar, hame mann se hai pyar
dhan kisi bat par hamse rutha
dil sacha aur chehara jhuta dil sacha aur chehara jhuta
dil ko dekho, chehara na dekho cheharo ne lakho ko luta
ha, dil sacha aur chehara jhuta dil sacha aur chehara jhuta