jo na hona tha, woh mujhe hona pada
aaj kho kar tujhe jinda rahna pada
waqt se jo mila mujhe woh jakhm
seena pada, seena pada, seena pada
jo na hona tha, woh mujhe hona pada
aaj kho kar tujhe jinda rahna pada
waqt se jo mila mujhe woh jakhm
seena pada, seena pada, seena pada
phir kahin sahar mein chhota sa ghar bana lunga
tu sajaa tha kabhi us tarah main saja lunga
phir naye rango se rang lunga uski diwaare
kuch naye khawaab bhi gamlon me main laga lunga
tere gam ka zahar yun bhi peena pada
aaj kho kar tujhe jinda rahna pada
waqt se jo mila mujhe woh jakhm
seena pada, seena pada, seena pada
waqt marham hai tera zakhm bhi wo bhar dega
bin tere jeene ke laayak wo mujhe kar dega
phir naye raaste dega wo mere kadmo ko
phir mujhe laut kar aane kaa koi dar dega
tutaa sapna haan mujhe phir pirona pada
aaj kho kar tujhe jinda rehna pada
waqt se jo milaa mujhe wo zakhm
seena pada, seena pada, seena pada
ab teri yaadon ko mehmaan main bana lunga
jab bhi aayengi to kuchh mahfilen saja lunga
unke aane phir unke jaane ko raftaa raftaa
koi aadat si haan main to bana lunga
haay itnaa kyun mujhe tanha yun hona pada
aaj kho kar tujhe jinda rehna pada
waqt se jo milaa mujhe wo zakhm
seena pada, seena pada, seena pada