pyar ki rah bahar ki manzil pyar ki rah bahar ki manzil
pane wale paa hi gaye preet ki reet nibhane wale
preet ki reet nibhane wale banke sathi aa hi gaye
dil se hua hai dil ka milan dharti ko jhuk jhuk chume gagan
jhum uthi aasha ki ghata nach utha ulfat ka chaman
phul bhi dekhle ru tera janeman sharma hi gaye
pyar ki rah bahar ki manzil pyar ki rah bahar ki manzil
pane wale paa hi gaye
deep khsuhi ke dil me jale gum ke ghanere saye dhale
lagta hai aisa pake tumhe dunia hai jaise pawo tale
preet ki reet nibhane wale preet ki reet nibhane wale
banke sathi aa hi gaye
jan se pyara hai ye safar sham hai apni apni shahar
kaid se panchi chhut gaye dur hua sayyad kadar
pyar ki mauj me dub ke do dil aaj kinara paa hi gaye
pyar ki rah bahar ki manzil pyar ki rah bahar ki manzil
pane wale paa hi gaye