apni nagariya chhod ke raja
mere gaav kyu aaye ho
ho raja mere gaav kyu aaye ho
apni nagariya chhod ke raja
mere gaav kyu aaye ho ji
mere gaav kyu aaye ho
apni nagariya chhod ke raja
mere gaav kyu aaye ho
ho raja mere gaav kyu aaye ho
meri nagariya suni padi thi
ghor andhera chhaya tha
us nagri me rahte rahte
jiya mera ghabraya tha
tere nagar me chand nahi kya
nahi chamakte tare hai
jagmag karti kirno ke
kya wahi nahi najare hai
chand sitare sabhi waha hai
lekin aisa chand kaha
jise dhundhane mai nikla hu
wo hai mera chand yaha
isi chand ki khatir gori
nagar nagar bharmaya hai
apni nagariya chhod ke gori
tere gaav me aaya hu
o pardesi tere nagar me
rup nahi kya rang nahi
gungun gungun karte bhawro ke dal
phul kamal ke sang nahi
sun pardesan rup waha hai
lekin aisa rang nahi
jiwan hai jite hai hum
par jine ka koi dhang nahi
jiwan hai jite hai hum
par jine ka koi dhang nahi