panghat pe na jaiyo gori ghunghat utar ke
ha ghunghat utar ke panghat pe na jaiyo gori
ghunghat utar ke ha ghunghat utar ke
chhupa ke rakhna in naino ko ghunghtwa ki oth me
kisi ke bhole bhale dil pe lag jaye na chot
ho lag jaye na chot ye ghadi hai chail chabili
hum pyase dildar ke panghat pe na jaiyo gori
ghunghat utar ke ha ghunghat utar ke
uncha uncha panghat hai ya nichi nichi gori
kahi na ho jaye ho gori tere man ki chori
ha tere man ki chori sun o chaman ki gori
din aaye bahar ke panghat pe na jaiyo gori
ghunghat utar ke ha ghunghat utar ke
ghunght me chandar mukh rakho nahi chupaye
chand pe badal chha jaye to jag andhiyara chhaye
suno suno he ri duniya duniya se kya darna
ghunght ke pat khol ke tum panghat pe pani bharna
panghat pe pani bharna sharmao nahi ghabrao nahi
chalo panghat pe tum ghunght utar ke
ha ghunght utar ke panghat pe na jaiyo gori
ghunghat utar ke ha ghunghat utar ke