agar bewafa tujhko pehchan jate
khuda ki kasam hum mohabbat na karte
jo malum hota ye anjaame ulfat to
dil ko lagane ki jurrat na karte
agar bewafa tujhko pehchan jate
khuda ki kasam hum mohabbat na karte
jinhe tumne samjha meri bewafai
meri jindagi ki vo majburiya thi
jinhe tumne samjha
hamari mohabbat ka ik imtihan tha
ye do din ki thodi jo duriya thi
jo duriya thi
agar sacchi hoti mohabbat tumhari to
ghabra ke tum yu shikayat na karte
agar bewafa tujhko pehchan jate
khuda ki kasam hum mohabbat na karte
jo hum pe hai guzri hami jante hai
sitam kaunsa hai nahi jo uthaya
jo hum pe hai guzri
nigaaho mai phir bhi rahe teri surat
har ik sans mai tera paigam aaya
paigam aaya
agar jante tum hi ilzam doge to
bhule se bhi tumko ulfat na karte
agar bewafa tujhko pehchan jate
khuda ki kasam hum mohabbat na karte