kanch ke jaise saaf usul kanch ke jaise tut gaye

aankho me vishwas jo tha chubhane lage uske tukde
apne hi hathon khaya jakhm hum khud ko hi lut gaye
kanch ke jaise saaf usul kanch ke jaise tut gaye
aadhi adhuri baat hai jo sach bhi hai aur jhut bhi wo

apna haath jala baithe roshani karni thi hamko
hosh kahin par chala gaya aur hum pichhe chhut gaye
kanch ke jaise saaf usul kanch ke jaise tut gaye
aayino mein hai sawaal kahi jinka koi jawaab nahi

aisi hakikat dekhi hai ab dekhenge khwaab nahi
rasta jab gumraah mila hum manjil se ruth gaye
kanch ke jaise saaf usul kanch ke jaise tut gaye
kanch ke jaise kanch ke jaise