People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 1 *

Kya Kar Diya
Singer: Mohammad Rafi
Music: Sathyam
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Rani-Aur-Jaani/Hay-Bolo-Kya-Kar-Diya/MSsRfDVYT3Q
Video:
kya kar diya bata do jara ye dil diwana hua
kya kar diya bata do jara ye dil diwana hua
tumhi ko mana tumhi ko chaha tumhi ko pooja
haye bolo kya kar diya bata do jara ye dil diwana hua

pucha tumhi ne to kya chahiye
hamne kaha ki wafa chahiye
daman tumhara na chodenge hum
wada wafa ka na todenge hum
wafa nibhao idhar to aao wafa nibhao idhar to aao
gale lagao haye bolo kya kar diya
bata do jara ye dil diwana hua
kya kar diya bata do jara ye dil diwana hua

dam se tumhare jawa hai bahar
tum jo kaho to karu dil nishar
tumhare siva hum kaha jayenge
yahi hum to kadmo pe mar jayenge
bade hasi ho ke dilnashi ho
bade hasi ho ke dilnashi ho mere yakin ho
haye bolo kya kar diya bata do jara ye dil diwana hua
haye kya kar diya bata do jara ye dil diwana hua

nibhana sajan dil ki har baat ko
samajhna jara dil ke jajbat ko
khabar hai mujhe teri har baat ki
kadar hai mujhe tere jajbat ki
tumhi dharam ho tumhi karam ho
tumhi dharam ho tumhi karam ho
tumhi sanam ho haye bolo kya kar diya
bata do jara ye dil diwana hua
kya kar diya bata do jara ye dil diwana hua