chand ki roshni me bhala
kaise khanjar utar de koi
pyar khusbu ka ek jhoka hai
pyar ko kaise maar de koi
jo sitam pyar pe kare ya rab
wo hamesha yaha sharminda rahe
sari dunia fana ho jaye magar
pyar zinda tha pyar zinda rahe
ishk na mange jeet ishk na mange haar
ishk na mange jeet ishk na mange haar
ishk to mange hai bas
ishk to mange hai bas ik dilbar ka pyar
unche mahlo ki na khwahish
na to shohrat ka nasha
pyar ki thokro me sare jaha ki daulat
sone chandi ki dhadak
isko lubhaye na kabhi
apne mahbub ke daman ki hai isko chahat
ishk na mange jeet ishk na mange haar
ishk to mange hai bas
ishk to mange hai bas ek dilbar ka pyar
ishk na mange jeet ishk na mange haar
sham dhalte hi apne kuche me hum
charago ko bujha dete hai
apni aankho ki roshni ke liye
hum shama dil ki jala lete hai
ishk na mange jeet ishk na mange haar
ishk to mange hai bas
ishk to mange hai bas ek dilbar ka pyar
ishk na mange jeet ishk na mange haar