mange hai maa baap duaye aaye khushi ki ye bela
apne ho jo sath to sajta saguno ka mela
aayi hai nasibo wali ye gadiya
khushiyo ki chuti hai phuljadiya
khushiyo ki chuti hai phuljadiya
aayi hai nasibo wali ye gadiya
khushiyo ki chuti hai phuljadiya
khushiyo ki chuti hai phuljadiya
ek vo din tha tera sehra laya tha mai aap saja ke
ek ye din hai dekh na paye tujhko apni najar utha ke
sehre wale ho tera bhala rab teri khair kare
o rab teri khair kare aashao ke motiyo ki luti ladiya
khushiyo ki chuti hai phuljadiya
khushiyo ki chuti hai phuljadiya
ek vo babul jiske aangan aaj khushi ke chamke taare
o ek ye babul jiske sapne mitti me mil gaye hai sare
tune hamse kiya na bala rab teri khair kare
o rab teri khair kare haste hai lab roti hai ankhiya
khushiyo ki chuti hai phuljadiya
khushiyo ki chuti hai phuljadiya
nate pote aur beto ke khush ho kar tu shagun manaye
o tere sab dukh aaye mujhpar
tere sab dukh aaye humpar
tujhpar koi aanch na aaye
tujhe dete hai ham ye dua rab teri khair kare
o rab teri khair kare
khili rahe tere dil ki kaliyaan
khushiyo ki chuti hai phuljadiya
khushiyo ki chuti hai phuljadiya