ishq jaise hai ik aandhi ishq hai ik tufan
ishq ke aage bebas hai duniya me har iljam
ishq me sab diwane hai ishq me sab hairan
ishq me sab kuch mushkil hai ishq me sab aasan
dekho pyare yeh najare yeh diwane yeh parwane
yeh ishq me kaise gum
tumse milke dil ka hai jo hal kya kahe
ho gaya hai kaisa yeh kamal kya kahe
tumse milke dil ka hai jo hal kya kahe
ho gaya hai kaisa yeh kamal kya kahe
dil toh ik rahi jana dil ki tum manjil ho
dil toh hai ik kashti jana jiska tum sahil ho
dil na phir kuchh mange jana tum agar hasil ho
dil toh hai mera tanha jana aao toh mehfil ho
ishq se hi sari khushiya ishq hi barbadi
ishq hai pabandi lekin ishq hi ajadi
ishq ki duniya me yaro khwab ki aabadi
kho gaya woh jisko manjil ishq yeh dikhladi
dekho pyare yeh najare yeh diwane yeh parwane
yeh ishq me kaise gum
tumse milke dil ka hai jo hal kya kahe
ho gaya hai kaisa yeh kamal kya kahe
tumse milke dil ka hai jo hal kya kahe
ho gaya hai kaisa yeh kamal kya kahe
tumko puja hai tumhari hi ibadat ki hai
hamne jab ki hai toh phir aise mohabbat ki hai
hamne jab ki hai toh phir aise mohabbat ki hai
dil mera pagal hai jana isko tum behlado
dil me kyun halchal hai jana mujhko tum samjhado
dil ka jo aanchal hai jana isko tum lehrado
julf jo badal hai jana mujhpe tum barsado
jana leke jaya hai tera yeh diwana
jan tujhpe mit jayega tera yeh parwana
jana mere dil me kya hai tumne yeh na jana
jana tujhko yad aayega mera yeh afsana
dekho pyare yeh najare yeh diwane yeh parwane
yeh ishq me kaise gum
tumse milke dil ka hai jo hal kya kahe
ho gaya hai kaisa yeh kamal kya kahe
tumse milke dil ka hai jo hal kya kahe
ho gaya hai kaisa yeh kamal kya kahe