apne naseeb se hum khush hai
isliye yaha khushhali hai
apna to dushera hai har din
apni har raat deewali hai
mahenat ki kamaai khate hai
aur gam ki hansi udate hai
hum odh ke chadar karmo ki
jaha ji aaye so jaate hai
koi haal mast koi chaal mast
koi haal mast koi chaal mast
koi khake roti daal mast
hum sidhe sadhe logo mein
koi chhota na koi bada yaha
mahenat hi apni pooja
mahenat hi apna hai imaan
ek duje ke sukh dukh baate
miljul ke gujara karna hai
nafarat bhari duniya mein sabka
hume pyar se daman bharna hai
koi haal mast koi chaal mast
koi haal mast koi chaal mast
koi khake roti daal mast
na zulm karo na zulm saho
hume geeta ne ye sikhaya hai
na zulm karo na zulm saho
hume geeta ne ye sikhaya hai
jab jab koi kans hua paida
tab tab hi kishan yaha aaya hai
purab ke pujari hai hum to
paschim se hume koi bair nahi
hume saari duniya pyari hai
sab apne hai koi gair nahi
hume saari duniya pyari hai
sab apne hai koi gair nahi
koi haal mast koi chaal mast
koi haal mast koi chaal mast
koi khake roti daal mast
sab mast hai apni masti mein
hum dilwalo ki basti mein
koi haal mast koi chaal mast
koi khake roti daal mast