chal diye sab chhodkar humko hawaon ki tarah
ab jalenge jindagi bhar hum chitaon ki tarah
jindagi ka karwan hum le ke jaye kahan
jindagi ka karwan hum le ke jaye kahan
har taraf chhaya hua hai aansuo ka dhua
jindagi ka karwan
duniya mein pyar ke liye hum na kaha kaha phire
duniya mein pyar ke liye hum na kaha kaha phire
apno se kha ke thokare gairo ki god me gire
gairo ki god me gire
bas yahi tak jante hai hum to ye dastan
jindagi ka karwan hum le ke jaaye kahan
jindagi ka karwan
jeene ki chah ka ilaaj mar mar ke kar rahe hai hum
jeene ki chah ka ilaaj mar mar ke kar rahe hai hum
yaani ke jakhum phool ke kaanto se bhar rahe hai hum
kanto se bhar rahe hai hum
aaj kya kya rang laayi kal ki nadaniyan
jindagi ka karwan hum le ke jaye kahan
jindagi ka karwan
ab is jahan ki hawa humko na raas aayegi
ab is jahan ki hawa humko na raas aayegi
rishto ki tarah sans ki dori bhi tut jayegi
dori bhi tut jaayegi
hum mitenge to mitega rang ka naam o nishan
jindagi ka karwan hum le ke jaye kahan
jindagi ka karwan hum le ke jaye kahan
har taraf chhaya hua hai aansuo ka dhua
jindagi ka karwan