kitne hi sagar kitane hi dhare
taire hain tair raha hun
mann majdhara koi na kinaara
behta hun behta raha hun
kitne hi sagar kitane hi dhare
taire hain tair raha hun
mann majdhara koi na kinaara
behta hun behta raha hun
kitne hi sagar kitne hi sagar
ye mann ka samandar, sadiyon se gehra
ye mann ka samandar, sadiyon se gehra
lehron ka ant nahi hai
ek pal dubna ek pal tairna
ek pal dubna ek pal tairna
jeena aur marna yahin hai
kitne hi sagar kitane hi dhare
taire hain tair raha hun
saahilo ke paar jahaan, basti thi shaanti
aag bhi sulagne lagi hai
saahilo ke paar jahaan, basti thi shaanti
aag bhi sulagne lagi hai
jung ki agan se, paanio ke saahil
aaj pighalne lage hai
chhod ke saahil, tod ke kashti
chhod ke saahil, tod ke kashti
behta hun behta raha hun
kitne hi sagar kitane hi dhare
taire hain tair raha hun
aandhi tufaan rukti hai raahi
aate hai dubone saare
aandhi tufaan rukti hai raahi
aate hai dubone saare
mann ka ye maajhi, dhundhta hai phir bhi
naye aakaash kinaare
zindagi sehna zindagi behna
zindagi sehna zindagi behna
behta hun behta raha hun
kitne hi sagar kitane hi dhare
taire hain tair raha hun
gehra ye saagar tod ke dishaye
disha dikhata hai
gehra ye saagar tod ke dishaye
disha dikhata hai
lehron ke haatho akaash chhuke
jeena sikhata hai
saagar pe rehna, saagar me behna
saagar pe rehna, saagar me behna
behta hun behta raha hun
kitne hi sagar kitane hi dhare
taire hain tair raha hun
mann majdhara koi na kinaara
behta hun behta raha hun
kitne hi sagar kitne hi sagar