meri aankhon ki neend le gayaa
meri aankhon ki neend le gayaa
bedardi baalam ho ho ho mohe dagaa de gayaa
meri aankhon ki neend le gayaa
bedardi baalam ho ho ho mohe dagaa de gayaa
jab jab tera dhyaan saajna karun main
chhup chhup duniya se aahe bharu main
aap gayaa mera chain le gayaa
mera chain le gayaa, mohe dagaa de gayaa
meri aankhon ki neend le gayaa
bedardi baalam ho ho ho
birha ki lambi raaten hamko satayengi
ji hamko satayengi
teri zafayen piyaa hame yaad aayengi
oye hame yaad aayengi
dukh deke koi mera chain le gayaa
mera chain le gayaa, mohe dagaa de gayaa
meri aankhon ki neend le gayaa bedardi baalam
ho ho ho mohe dagaa de gayaa
gham jo diya hai tune kaise sahenge
ro ro ke balma ham to sabse kahenge