ai mere udas mann, chal dono kahee dur chale
mere hamdam teree manjil, yeh nahee yeh nahee koi aur hai
ai mere udas mann
iss bagiya ka har phul deta hai chubhan kanto kee
sapane ho jate hain dhul kya bat kare sapano kee
mere sathee teree duniya, yeh nahee yeh nahee koi aur hai
ai mere udas mann
jane mujh se hui kya bhul jise bhul saka na koi
pachhatave ke aansu mere aankh bhale hee roye
o re pagale teraa apana, yeh nahee yeh nahee koi aur hai
ai mere udas mann
patthar bhee kabhee ik din dekha hai pighal jate hain
ban jate hain shital nir jharano me badal jate hain
teree pida se jo pighale, yeh nahee yeh nahee koi aur hai
ai mere udas mann